Showing posts with label love. Show all posts
Showing posts with label love. Show all posts

Tuesday, May 19, 2020

Kise dhoond rahe ho?

Dhoond kya rahe hoo tum yaha?
Yaha kuch nahi rakha.
Milengi bas kavitayen tumhe
Thoda kuch in main jhaank lo

Pad kya rahe hoo tum yaha?
Kitab ka panna thodi hu?
Kora kaagaz ho, humari kitaab se phata
Udd ke main yaha aa gira.

Kya soch rahe ho dikhega yaha?
Yaha main kavi nahi.
Milega tumko ek insaan yeh
Khud hi ko jisne kabhi ka kho diya

Batau tumhe milega kya yaha?
Milega mera junoon
Milegi meri kahaani
Milunga main nahi, woh!

Tum usko dhoond rahe ho yaha?
Nazar ghuma ke toh dekho, har jaga bas woh hi milega. 
Bas woh hi milega. Bas woh hi milega. 
Mera Khuda bas yahi milega!

Saturday, May 16, 2020

Zindagi

Taaron Bhari Ek Raat Mein
Tere Khat Padhenge Saath Mein
Kora Jo Panna Reh Gaya
Ek Kaanpte Se Haath Mein
Thodi Shiqaayat Karna Tu
Thodi Shiqayat Main Karun
Naraaz Bas Na Hona Tu,
Zindagi...
- Zindagi Kuch toh Bata.

These lines, can be interpreted in the most beautiful ways. Toota dil ho, ya bichde dost, ya koi extrovert - basically 'longing' ka koi bhi form ho.

Yeh scenes generally movies main hote hai but aise ek movie series hai 'Before Trilogy'; Before Sunrise is the first, it's beautiful, though I don't remeber much but I really want to re-watch it all, may be tonight

But again think about it, on the way to adulting, we end up losing so many friends, people we loved, family members and as years progress the realisation dawns upon us, as one starts getting busier some friends are no more at the same wavelength with you and you realise some have settled in a 'gruh grihasti' and some just fade out. 
And we envision a day when we can just sit down with a few and have just one night to discuss a lot that remained unsaid and one kicks himself as to why didn't they, May be the time is now?

Kora kagaz, ek unkahi kahani,
Tum aur main, meri zubaani. 

Saturday, May 2, 2020

Taral

Kyon ki prem main, insaan taral ho jaata hain.
* Medha Bhatt
Again, this woman writes like a dream, it's not direct - where you are reaching from point A to point B. It's layered. If she would have used the word mad, happy or referred to something that mentioned a single emotion, I'd not have written such a long post about it but using the word 'Taral - Fluid', is the most powerful move she could have pulled.

Think about it, we are not a single emotion in love, we are much more - we are happy, angry, mad, insecure, trusting, possessive we are everything that is greedy as well as accomodating - this here is being fluidic.

We go lengths to make sure that one person is retained or atleast the one person is around us at all times, hum kisi bhi shape main dhal jaaayenge bas tera hona zaroori hain. Sab jo aaj tak nahi kiya woh bhi kar jaayenge bas tera saath mujhe chahiye.
Woh gaane ke bol yaad aate hai,

------
Kaga Re Kaga, Mori Itni Araz Tose, Chun Chun Khaiyo Maans
Re Jiya Re, Khaiyon Na Tu Naina More
Piya Ke Milan Ki Aas.

------
Taral hoke insaan abaad ho jaata hai.

Medha then says,
Sabse Saral insaan prem karta hai, par saral hona sabse kathin bhi hota hai. 

Wednesday, December 18, 2019

Main Hoon

Main shayad aas paas tere humesha na rahu 
Par main hoon
Main shayad apne aap se tere liye ladu
Par main hoon

I am not as perfect as you perceive me to be 
But I am looking out for you.
I may have my prejudices and my way of life
But I will have your back. 

Kahi cheeze aisi hoti hai jo hum apne hisaab se ho chahte hai
Kahi cheeze aise bhi hoti hai jo hume bhaati nahi hai.

I am as flawed as they come
I may be as complex as they come 
Par tere liye main humesha hoo 
Tere liye main sab kuch ek kar du. 

Bas sirf tere liye main hoon.  

Sunday, July 21, 2019

Khat

Udas toh rehti hai kitab bhi aaj kal,
Suna hai, khat likhna ab sab old school samajhte hai

Udas toh rehti hai kalam bhi aaj kal
Suna hai, prem patr sirf kahaniyo main pade jaate hai.

Ab iss khat ki kya dastaan sunau
Dakiya bhi hai aur pata bhi
Par yeh premi aaj Kal ke,
WhatsApp ke bahaar nikalte hi nahi.

Friday, July 19, 2019

Dur

Badalo ne chupa ke rakha hain aaj chand ko
Eh Kismat, tune door kyun rakha hai mere yaar ko?

Thursday, March 28, 2019

Calling Me Home

I have walked a rocky road all alone looking for something new
The voice in my head guiding me home is none other but you.

It's you I look in every face and yet you seem so far away
And when I find the girl I know, this is what I'll say,

----

I've walked many a miles in broken shoes, with no end at sight
But I come home to you and it's here my peace resides.

I look out the window and a familiar face smiles back at me
It's here I know I am safe, for you are home to me

Reflecting them rays, adds a charm to your face
I say to self hold on to her for she is the home you seek

----

I've walked a rocky road across many a path looking for a girl I know
And when I find the girl I know, I am never letting her go.

Wednesday, March 13, 2019

Ek main aur ek tum

Ek woh hai aur ek tum
Woh jo mera Ansh hai 
Aur tum jo mera aaj

Ek mera kal tha ek mera aaj hai 
Kal jo ab apnayega nahi 
Aaj jo mere liye tyaar nàhi 

Ek main hoon aur ek tum ho
Tum jo ab kisi aur ki ho 
Aur tum jise main khona nahi chahta 

Ek main hoon aur ek khud se ladta mera atman
Ek woh hai jo mujhe thode hi palo main duniya dikha gaya
Aur ek main -jo us duniya main phir jaane ko kaamp raha hoon

Aur in bhavnao se panapte - dar aur ek yakeen hai 
Yakeen ke tum bhi chale jaaoge 
Aur dar yeh ki main phir se haar jaaunga

Thursday, December 13, 2018

Woh baat kaha

तारे भी आये है और रात भी जवान है

पर चाँद के बिना वो बात कहा


हँसी भी है और हसीना भी 

पर तेरे बिना वो बात कहा 


मदिरा भी हैं मधुशाला मैं हम

पर यार बिना वो बात कहा 


तकिया भी है और रजाई भी

पर तेरे सीने से लपटने की वो बात कहा


ख़ुशी तोह है और मुस्कान भी

पर तेरे बिना उसकी बात कहा?

Monday, November 5, 2018

कहनी

तू वो संदूक, जिसकी मैं पुरानी चाबी
मैं वो किताब, जिसे छोड़ी तूने आधी खाली

मैं कलाम की एक लकीर हूँ, पर मेरा पन्ना तू नही
तू एक नई भर्ती किताब हैं, जसिमें ज़िक्र मेरा कही नही।

Monday, October 8, 2018

If i were a song

अगर मैं एक गीत होति

तुम उसके बोल होति

मुखड़ा तुम्हारी हर वो नादान्नगी बयान करती

अंतरा तुम्हारी हर वो बात


अगर मैं चांद होता

तोह रात तुम होती

तारों के संग लुखा चुप्पी तुम खेलती

जुगनू की सुबह तुम होती 


अगर मैं एक कविता होता 

उसका लेख तुम लिखती 

कभी आंधी में मिलती मुझे 

कभी फूलो में छिपति


अगर मैं नदी होता 

बहते पानी का साज़ तुम होती 

आलेख अतीत का मेरे तुम रखती

मेरे होने की गवाह तुम होती


अगर मैं मिट्टी होता 

तोह सांस उसमे तुम भर्ती

जीने की वजह तुम होती 

बाकायदा जीवन तुम होती 


In Roman 

Agar main ek geet hota
Tum uske bol hoti 
Mukhda tumhari naadangi bayan karti
Antra tumhari har woh anokhi baat 

Agar main chaand hota
Toh raat tum hoti
Taaron ke sang lukha chupi khelti
Jugnu ki subeh tumhare aane hoti

Agar main ek kavita hota
Uske lekh tum likhti
Kabhi aandhi main milati mujhe
Kabhi phoolo main chipti

Agar main nadi hota 
Behte paani ka saaz tum Hoti
Alekh ateet ka mere tum rakhti
Mere hone ki gavah tum hoti

Agar main mitti hota 
Toh saans usme tum bharti
Jeene ke wajah tum hoti

Bakaida jeevan tum hoti

Wednesday, October 3, 2018

Ek Ehsaas

Khushboo hain tu, kuch meethi si
Dhun hain tu, ek madhur si

Bol hain tu, ek adhuri kavita ke
Ehsaas hain tu, ek khaali bistar ka
Khamoshi hain tu, cheer ke jaati hui 
Neend hain tu, door bhaagti hui 

Tadap hain tu, ek lambi lagi lath ka
Dhyan hain tu, us tooti samadhi ka

Jab kareeb thi tu toh kadar kaha thi 
Jab chali gayi tu toh takleef kaha thi 
Reth hain tu jo pisalti chali gayi
Rakeeb ke oor tu dhalti chali gayi

Na main ab tere aankon ka noor hoon 
Na main tere dil Ko du, woh sukoon hoon
Bas ab, teri khani ka khatam hua ek panna hoon
Tera ateet ka main ek sira hoon. 

Door kahi choor ke us paar, yadon main dafna hoon.
Tere naye ishq ka main ek marg darshi hoon.
------>
(Buried under a load of past memories,
I am your wisdom to a fresh blossom of love)

(Credits: Bahadur Shah Zafar for picking a line)

Tuesday, October 2, 2018

Nanhi Pari

Ek sapna dekha tha, ankoha shayad
Ek raah pakdi thi, khatin shayad

Ek dil diya tha, pyaar hua shayad
Ek dil liya tha, naya ehsaas hain shayad 

Ek mukaam pe paunche, ab aage kya?
Sapna poora kare, chale saath kya?

Hosla hain, tu agar saath hain 
Nadaan hoon main, par tu paas hain.

Ab is mukaam pe hain ki dar lagta hain
Naya mod hain yeh, aage kya hota hain 

Nai shuruaat hone ko hain
Nani si jaan ab bas aane ko hain 

Tu sapna hain mera ankoha ka
Tujhe paana aasan nahi tha

Do dilo ka tu woh ehsaas hain 
Aankon ka taara mera pyaar hain

Tu hosla hain meri tu himmat meri 
Tu ansh hain meri tu jaan hain meri 

Meri ankhon ka tara ab aa bhi ja 
Haathon main meri, tu mere seene se lag ja.

Monday, February 26, 2018

Ma

Kya chod chali hain peeche tu apne
Isse khandar kahu ya ghar

Veraane main lipte kan kan saare
Shok main hain doobe yeh pal 

Soona pan ab gherne laga hain 
Hawao ne bhi bolna kuch band sa kar diya

Dil ka Alam kuch aisa hain
Toot ke choor main ab bhikar gaya 

 Sheehsa hoon main sambhal ke rakha tha tune
Kaha jaau dhoonde tuje, is tarah kyun chal di tu ma.

Ek dhaal thi tu meri is jahan main, ma
Hosla thi tu jab bhi uljha main kuch takleef main.

Woh pal yaad aata hain jab aankh moonde tu sooyi thi ma
Ek baar phir sehla de muhje, godh main phir sula le mujhe

Laut ke waapas tu kyun nahi aati, ma?
Ek akhri baar, tere gale lag ke roone de mujhe ma. Bas ek akhri baar.

Friday, January 12, 2018

Umeed

Hum bhi usi kashmakash main hain 
Tum bhi usi soch main doobe ho

Dhas rahe hain hum is daldal main yun 
Ghire hain toot ti diwaaro see yun

Nahi hota sehn ab, aur yeh chintai hain ki jaati nahi 
Jinta bhago door inse yeh badal banke mandrati rahi

Kuch aisa dikh jaaye, shayad ek tinka hi sahi
Sameth ke anchal main apne daud padenge

Paunch toh jaayenge door koi jahan main hum jo shayad sapno main dekha karte the.

Thursday, November 9, 2017

Tanhai

Tanhai bhi kuch aisi hain
Chahe jitna door use hum kare
Utna hi kareeb aa jaati hain

Rail ki patri si hain yeh tanhai 
Aur tation un namb yaadon ki tarah
Yah shayad lakeer hain yeh tanhai 
Koi bhi chor pakad lo kahi toh woh le hi aati hain 

Yeh Lakeer shayad ek naksha hain
Naksha ek khoyi chabi ka jis se khule
Woh ek dur kahi rakhe yadoon ka sandhook 
Aur rail us sandook tak paunchne ka ek zariya 

Tanhai jab ood le jisse kabhi kambal ban ke 
Kho jaata hain woh uske prabhav main
Aankho main se phir yeh tinka ban kar
Aansu ki tarha behne lagta hain

Tab rail bhi us lakeer pe 
Us chabi ki tarha apna raasta khone lagti hain.

Sunday, September 17, 2017

Ehsaas

Panne khaali maine chod diye hain
Kahani shuru hone se pehle hi panne mod diye hain
Kyun naam de is kahani ko
Jab paunch hi nahi payenge mukam tak

Befikr toh bas yeh svabhav hain
Shayad dard ka sirf mujhe hi ehsaas hain

Door chale jaayenge aaj khud hi tumshe
Kyun judai ka tumhe baad main kasth de?

Thursday, August 31, 2017

Airline Letter

Kabhi kabhi shabd kam pad jaate hain 
Kabhi kehne Ko bahut kuch reh jaata hain 

Kalam gar mil jaaye toh 
Phir likhne ka ek alag hi maza aata hain 

Izhaar karne main shayad baat kuch khaas na lage
Par kagaz se padne ka ek alag hi romance hain

I am not looking for fancy words 
May be, just a simple sentence will do?

"You are really pretty".

Friday, July 7, 2017

Aage Bado

Ladkhadate jab chalna seekha 
Tab kya yeh bola tha, yeh mere bas ka nahi?

Kya hua agar kuch nahi ho raha hain jaisa tum chaho 
Tum woh karte raho jo dil tumhara chahe

Kal ki soch ke kyun aaj tum nahi jee rahe ho
Aaj hi ko jo dhua bana diya toh kal kaise dekhoge?

Waqt ka kya hain bharosa jo ek jagah tik ke nahi rehta
Woh jo is waqt tumhare paas hain usse toh jaane mat do

Dil se aaj ke din toh jeena seekh 
Aur jo lamhe tum jeeoge unhe sameth ke bhar lena anchal main 

Yeh pal bhi tera yeh muskaan bhi teri
Kyunki khushi hain teri tere haatho main

Koi nahi cheen sakta pal yeh jo tune jiye hain
Yeh yaaden teri hain aur tere hi rahenge.

Wednesday, April 19, 2017

Dil Ka Aitbaar Nahi

Raaste badle hue kitne saal guzaar diye
Mile na kabhi uski hi tayaari the kiye
Dooriyan badti chali gayi toh jeene ki bhi aadat daal li
Kismat ko manzoor tha shayad yeh hi

Kabhi rubaroo humse hojaao toh kuch mat kehna 
Bas muskurake ke chal dena 
Kahi zikar agar humara ho jaaye toh 
Baat ko tum Yuh hi Taal dena
Jo kuch bhi reh gaya ho tumhare paas
Use dhool bana ke parvah dena
Sameth ke sab kuch yaadon ke saath
Kahi tijori main band ke, guma dena

Kyun ki 

Maana ke hum yaar nahin
Lo te hai ke pyaar nahi
Phir bhi nazrein na tum milana
Dil ka aitbaar nahi.
(I wanted to write something with these lines for I loved this song)