Showing posts with label missing. Show all posts
Showing posts with label missing. Show all posts

Wednesday, October 3, 2018

Ek Ehsaas

Khushboo hain tu, kuch meethi si
Dhun hain tu, ek madhur si

Bol hain tu, ek adhuri kavita ke
Ehsaas hain tu, ek khaali bistar ka
Khamoshi hain tu, cheer ke jaati hui 
Neend hain tu, door bhaagti hui 

Tadap hain tu, ek lambi lagi lath ka
Dhyan hain tu, us tooti samadhi ka

Jab kareeb thi tu toh kadar kaha thi 
Jab chali gayi tu toh takleef kaha thi 
Reth hain tu jo pisalti chali gayi
Rakeeb ke oor tu dhalti chali gayi

Na main ab tere aankon ka noor hoon 
Na main tere dil Ko du, woh sukoon hoon
Bas ab, teri khani ka khatam hua ek panna hoon
Tera ateet ka main ek sira hoon. 

Door kahi choor ke us paar, yadon main dafna hoon.
Tere naye ishq ka main ek marg darshi hoon.
------>
(Buried under a load of past memories,
I am your wisdom to a fresh blossom of love)

(Credits: Bahadur Shah Zafar for picking a line)

Monday, February 26, 2018

Ma

Kya chod chali hain peeche tu apne
Isse khandar kahu ya ghar

Veraane main lipte kan kan saare
Shok main hain doobe yeh pal 

Soona pan ab gherne laga hain 
Hawao ne bhi bolna kuch band sa kar diya

Dil ka Alam kuch aisa hain
Toot ke choor main ab bhikar gaya 

 Sheehsa hoon main sambhal ke rakha tha tune
Kaha jaau dhoonde tuje, is tarah kyun chal di tu ma.

Ek dhaal thi tu meri is jahan main, ma
Hosla thi tu jab bhi uljha main kuch takleef main.

Woh pal yaad aata hain jab aankh moonde tu sooyi thi ma
Ek baar phir sehla de muhje, godh main phir sula le mujhe

Laut ke waapas tu kyun nahi aati, ma?
Ek akhri baar, tere gale lag ke roone de mujhe ma. Bas ek akhri baar.

Thursday, November 19, 2015

Tum Paas Hoo

Bahoon main the jab uske toh bas usi main chaha rehna
Har pal woh tha humaara, woh har pal main muskurake jiya

Hooton se tere main kahaniya suna
Aankon se tere unhe bunte dekha

Aanchal main tere main khud ko khoya
Bechain mann ne tab jaake kahi saans liya

Har pal ab main yehi socha karu
Ki is pal kyun na tu kareeeb aata

--
Aana bhi chahu toh main kareeb na aau
Haalat ke aage main bhi kuch na kar paau
Mauke tujhe bahut diye
Par tu kabhi samajh na saka

Pyaar main tere main doobti rahi
Par tu kabhi kadar na kiya
Jaana toh tha kabhi na kabhi
Par is baar toone ki door kiya

Bula raha hain ab phir tu mujhe
Mudke aana bhu chahu toh na aa paau
Thak gayi hoon sambhaalte hue tujhe
Ab is dil ko samjhane ki himmat bhi na chaahu

---

Kyun chubte hain yeh lafz tere
Kyun baraste hain yeh nain mere

Tu hain har waqt zehan main mere
Kya yeh na sudharne ki saza hain hain mili mujhe?

Bas ek pal yun aao paas
Gale laga ke keh do aaj
Ki pyaar hain tumse aaj bhi
Par yeh na bolo uska ehsaas nahi