Friday, July 7, 2017

Aage Bado

Ladkhadate jab chalna seekha 
Tab kya yeh bola tha, yeh mere bas ka nahi?

Kya hua agar kuch nahi ho raha hain jaisa tum chaho 
Tum woh karte raho jo dil tumhara chahe

Kal ki soch ke kyun aaj tum nahi jee rahe ho
Aaj hi ko jo dhua bana diya toh kal kaise dekhoge?

Waqt ka kya hain bharosa jo ek jagah tik ke nahi rehta
Woh jo is waqt tumhare paas hain usse toh jaane mat do

Dil se aaj ke din toh jeena seekh 
Aur jo lamhe tum jeeoge unhe sameth ke bhar lena anchal main 

Yeh pal bhi tera yeh muskaan bhi teri
Kyunki khushi hain teri tere haatho main

Koi nahi cheen sakta pal yeh jo tune jiye hain
Yeh yaaden teri hain aur tere hi rahenge.