Thursday, April 11, 2024

Andhera toh b hua hai

Mashaal hu mae 
Ek bujhte diye ki lau se jali 
Dheeme se roshan karti hui
Viraan pade ek ghar ko 

Jaha kabhi bacche khelte the 
Vede mein mirchi soo.kha karti thi 
Chath pe papad suka.e jaate the 
Jaha kabhi daadi raha karti thi 

Jhilmilati hui iss roshni mein 
Dhundli padi ka.e yaaden hai
Lukka chuppi khel rahi hia 
Aur milne ki ummed bhi kam hi hai 

Buj jaayegi yeh mashaal bhi ab
Gir jaayegi sab deewar bhi 
Mit jaayega iss ghar ka pata
Reh jaayegi bas kuch yeh panktiyan
Saboot - ki hum kabhi the 
Roshni bhi thi, andhera toh ab hua hai.

tere mere zindagi mein hona

lehrate patto ke beech 
hare rang ke ek maidaan mein
akele khadi hai woh 
sooraj dhal raha hai
sunhera kar raha hai sab 
maano jaise Taj gaddi tyaar ho rahi hai

Aur mein 
dur khada apni बोतल mein paani bhar raha hu 
bas usse hi dekh raha tha 
aur mann hi mann soch raha tha 
yeh jo pal hai 
isse kaise mein kavita ya photo se justify kar paaunga 

isse toh bas dekh kar jeena hai 
aur ek ehsaas ki

Yeh sab se khoobsurat pal hai 
tera meri zindagi mein hona. 

Aaj biyah rachate hai

Aa mil ke ab ghar basate hai
Purani baaton ko bhool jaate hai
Tere mere Ishq ka mukaam yehi hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Saath mein subeh ki chai peete hai
Dieting ke naam pe dinner skip karte hai
Par har rooj meetha khaate hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Raat ko ek bed saath share karte hai
Gusse mein ho, toh diwan ready rakhte hai
Ek chath ke neech ek dusre ko tolerate karte hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Saath mein har hurdle ko conquer karte hai
Ek team ban ke ab kaam karte hai
Ek dusre ko motivate kar ke aage bad te hai
Aa chal saath zindagi guzar te 

Sunday, March 31, 2024

Bill bharo Madam

 suna hai soona pada hai 
ghar tere mein chula ab tak nahi jala hai 
dhool ne ab parat bana li hai 
par abhi bhi tu usme reh raha hai 

meri raai mano
toh kavi char shabd pesh karta hai 

Apne Bijli ka bill bharo, Madam.

Sunday, March 24, 2024

Dil ke tukdo se toh poocho

Dil mere mein kya dum tha 
Jaake Dil ke tukdo se poocho

Tere liye woh kya paar tha 
Tukdo mein chupe un eshsaso ko poocho

Kuch na kuch sunani hai

 Sabhi ko ek kitab likhni hai 
Apni kahani byaan karni hai 
Kuch tute hi Dil ki zubani hai
Kuch dukh bhari khanai hai
Kuch bachpan ki yaaden hai
Kuch na kuch sabko sunani hai

Friday, February 23, 2024

Zindagi Jhakaas kar

kyun tu udaas hai 
tu kaafi khaas hai 
ye bas kahani ka ek mod hai 
Par aage zindagi jhakaas hai 

Thoda aage rasta dukhad hai
Nange paau thoda chalna bhi hai 
Dard ka aalam kuch roz aur hai 
Par aage zindagi jhakaas hai 

Khud pe bharosa thoda jyaada kar 
Kahani ko apne rangeen tu kar 
Shoes pehne ke ab duad(run) tu 
Zindagi apni tu jhakaas kar