Thursday, April 11, 2024

Andhera toh b hua hai

Mashaal hu mae 
Ek bujhte diye ki lau se jali 
Dheeme se roshan karti hui
Viraan pade ek ghar ko 

Jaha kabhi bacche khelte the 
Vede mein mirchi soo.kha karti thi 
Chath pe papad suka.e jaate the 
Jaha kabhi daadi raha karti thi 

Jhilmilati hui iss roshni mein 
Dhundli padi ka.e yaaden hai
Lukka chuppi khel rahi hia 
Aur milne ki ummed bhi kam hi hai 

Buj jaayegi yeh mashaal bhi ab
Gir jaayegi sab deewar bhi 
Mit jaayega iss ghar ka pata
Reh jaayegi bas kuch yeh panktiyan
Saboot - ki hum kabhi the 
Roshni bhi thi, andhera toh ab hua hai.

tere mere zindagi mein hona

lehrate patto ke beech 
hare rang ke ek maidaan mein
akele khadi hai woh 
sooraj dhal raha hai
sunhera kar raha hai sab 
maano jaise Taj gaddi tyaar ho rahi hai

Aur mein 
dur khada apni बोतल mein paani bhar raha hu 
bas usse hi dekh raha tha 
aur mann hi mann soch raha tha 
yeh jo pal hai 
isse kaise mein kavita ya photo se justify kar paaunga 

isse toh bas dekh kar jeena hai 
aur ek ehsaas ki

Yeh sab se khoobsurat pal hai 
tera meri zindagi mein hona. 

Aaj biyah rachate hai

Aa mil ke ab ghar basate hai
Purani baaton ko bhool jaate hai
Tere mere Ishq ka mukaam yehi hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Saath mein subeh ki chai peete hai
Dieting ke naam pe dinner skip karte hai
Par har rooj meetha khaate hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Raat ko ek bed saath share karte hai
Gusse mein ho, toh diwan ready rakhte hai
Ek chath ke neech ek dusre ko tolerate karte hai
Aa chal aaj biyah rachate hai

Saath mein har hurdle ko conquer karte hai
Ek team ban ke ab kaam karte hai
Ek dusre ko motivate kar ke aage bad te hai
Aa chal saath zindagi guzar te