Saturday, November 12, 2022

Jawaani - ohooo - Jawaani

Meri thandi ho gayi chai
Girlfriend ki lagg gayi Haye 
Break up ke baad poocha, why 
Boli, tune kiya nahi kabhi try 

Ab 
Ek baar jo jaaye 
Jawaani phir na aaye

ooho jawaani phir na aaye.

Thursday, October 6, 2022

Ki karna Teri hoke Ranjhna

 Kidhar chod ke aaye ho Ishq apna?
Kidhar leke jaaoge dard apna?
Cheek ke bhi ambar ko cheer na sake 
Kaha doodne jaaoge Ranjha apna?

Kaha chod aaye ho ghar uska?
Kiss kuuche mein tha makan uska?
Kya thi woh nadi jiske kinare tu tha 
Main toh beh gayi chod ke sab Mera.

Toote patte bhi shaako ko chod aate hai 
Boonde barish ki jo badalo se baras jaate hai 
Lakdi jo jal ke raakh ho jaate hai 
Heer bhi magan ab apni dhun mei

Tujhe chode Ranjhna
Dekh Mera haal saajna
Main mor sang naachu
Ab bairaagan mein kehlau

Tuesday, August 23, 2022

Patthar Dil

 Ek dil bechaara tha 

Toot toot ke bhikharta tha 

Na jaane kis rooz woh 

Patthar Dil khelane laga 


Jaise koyela heera bane 

Waise Dil yeh patthar bane 

Heere ki mazbuuti zaroor mili

Par chamak kahi kho gayi


Ab yeh patthar dil akela raha

Daraare sang leke chala 

Kisi se na mile, na kisi ka Ishq raha

Patthar dil akhir kavi ki kavita bana

Tuesday, June 21, 2022

Ishq Bear Grills Episode

 Ishq ke dariya mein paau jo rakha 
Toh doobte chale gaye 
Manjhdaar se seekh ke tairne ko lage 
Toh dariya ki dhara mein behte chale gaye 

Jab Kinare paunche kahi jaake 
Toh baarish mein bheegne lage 
Jab jaake ped ki chaaya mein baithe 
Toh cheetiya kaatne lage 

Kahi jaake kisi patthar ke neeche soone lage 
Toh macchar ne soone nahi diya
Ishq kavita likhne ka mood tha
Maine Bear Grills ka episode likh daala.

Ishq bhi kuch aisa hi hai 
Raat mein 'Dare you touch me'
Toh subeh 'Chai toh laa hi sakte ho aap'
Aap!

Monday, May 16, 2022

Kheere ko milta hai Salon

Jaise badal ko mil jaati hai barsane ki jagah 
Jaise bhawnro mil jaate hai phool kayi

Jaise chuhe ko mil jaati hai chupne ki jagah
Jiase जूएं dhoond leti hai baalon mein ghar 

Jaise chipkali ko mil jaati hai deewar koi 
Jaise mendak ko mil jaate hai macchar kayi 

Waise hi

Har Aloo ko milti hai uski bindi ya gobi kahi  
Aur har kheere ko mil hi jaati hai saloon mein aank.en koi. 

Tuesday, May 10, 2022

Faiz, Pritam aur Jaun

Amrita Pritam kiise de canvas te utarna chaundi si
Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na mang, tha kehna Faiz ka 
Jo guzri na ja saki zindagi, woh Zindagi Jaun ne guzar di


Ishq ki aag mein kaun nahi jala hai
Kavi bhi jala hai 
Kavi bhi dooba hai
Tum bhi rooye ho
Tum bhi toote ho 
Par kavita kaun bana hai?
Na tum na mein 
Kavita toh bas yaaden bane hai
Jaise mala mein pirhote bikhre mooti
har dard ka mo.ti,
har toote khwaab ka mo.ti 

Main bhi kisi ke canvas pe Ishq banke utrunga 
Main bhi kisi se pehli si mohabbat karunga 
Main bhi zindagi jo guzari nahi jaati woh guzaarunga
Main bhi Ishq kavi ban ke amar ho chalunga.

Friday, April 1, 2022

Goa mein Judging Animals

Jheel ke shor mein baithi
Insects ka Sur sunti 
Indian idol ke judge ke feels mein 
Sur thoda choot raha hai keh kar

Main awakening ka wait karti 

Sar sar karke girte patte 
Raat mein mendak khaati lizard
India got talent ki judge ke feels mein
Aur behtar ho sakta tha keh kar

Mein apne trademark style ki khoj karti 

Goa ke man made resort mein
Indian reality ki judge banke 
Khud ko khojne nikli 
Insta par stories daalti

Awakening ka mere wait mein karti

Sunday, March 20, 2022

Aahun Aahun Aaahun

Jee toh chahta hai teri zulfon mein gum ho jaau 
Tere dil ki raah pe bas chalta hi jaau 

Tere naino ke baadalo pe ghar basau
Tere a.ngo ke har mod pe mud jaau 

Ankh lad jana
Mar muhk jana
Ekko ek kahani baas badle zamana
Aahun aahun aahun
Aahun aahun aahun

Chicken kukdu ku

Mere bagh ki baghbana tu
Mere har subeh jaagne ki wajah tu
Mere ghar aane ki wajah tue
Mere kavita ki muse bhi tu

Kyu ki
Har marz ka ilaaj 
Chicken kukdu ku
Yehi kehta hai Aaj chickenk
Kukdu ku

Window and Kiran Love

Raat bhar khidkiya andhere ko taak ti rahi 
Ikk umeed mein ki ab aayega savera 
Kidhiyon se chan ke aaye hai dhup ki kiran
Farsh pe lekin aadhi parchaiye bhi laayi hai kiran 

Khidki se pooche Kiran,
Kyun tu aane na de saari hume
Kyun tu parde karne lage humse
Khidki bole, 
Aaj aaye ho - kal bhi aaoge 
Mere andar bas ke 
Mujhe khush kar jaaoge
 
Par jaaoge zaroor 
Chod ke akele 
Phir raat bar taaku 
Ke ab aaye mera savere 

Hasrat milan ka meri poori kab hoye
Har shab hai bhichdan humaara
Har subeh hai vasl.

Canvas pe Apsara si

 Aandhi ke kaale baadlo si
Teri zulfo mae kho jaau

Kumud ke phool jaise naino mein tere mae
Bhanwara ban ke soo jaao

Tere gulab se laal hooton se rasti chasni
mae ban jau

Tere har ek ang ke har mod pe
Mae ruk jau
Tujhe sarau
Tujhe kareeb se jaanu

Jis tarah koi chitrkaar apni chtr rachta hai
Tujhe mere canvass pe apsara ka darja du

Aur ek kavita - meri yeh kavita
Humare hone ka pramaan bana du
Tere mere ishq ka yeh byaan darj kar du
Tujhe mein simat jaau
Jaise simat ta hai askash mein chand

Mera hona tujh se hai
Mera na hona bhi tujhi se hi hoga.

Friday, February 11, 2022

Laal Hoont

Laal hue hoont
Banarasi Paan khaa ke

Laal hue hoonth 
Red lipstick laga ke

Laal hue hoont 
Barf ka gola kha ke

Ab laal honge hoont 
Mera ghoosa kha ke

vahiyaat kavita se kya milta hai
 sab ko pakaake

Wednesday, January 26, 2022

Woh Dost Hi Kya

 Jo baat se taal de 
Woh dost hi kya 

Jo call na kare 
Woh dost hi kya

Tere baalon ki tareef jo na kare 
Woh dost hi kya 

Aur baloon pe tere jo chingam na chipkaye Woh bhala, dost hi kya!