Showing posts with label heartbreak. Show all posts
Showing posts with label heartbreak. Show all posts

Wednesday, March 13, 2019

Ek main aur ek tum

Ek woh hai aur ek tum
Woh jo mera Ansh hai 
Aur tum jo mera aaj

Ek mera kal tha ek mera aaj hai 
Kal jo ab apnayega nahi 
Aaj jo mere liye tyaar nàhi 

Ek main hoon aur ek tum ho
Tum jo ab kisi aur ki ho 
Aur tum jise main khona nahi chahta 

Ek main hoon aur ek khud se ladta mera atman
Ek woh hai jo mujhe thode hi palo main duniya dikha gaya
Aur ek main -jo us duniya main phir jaane ko kaamp raha hoon

Aur in bhavnao se panapte - dar aur ek yakeen hai 
Yakeen ke tum bhi chale jaaoge 
Aur dar yeh ki main phir se haar jaaunga

Wednesday, October 3, 2018

Ek Ehsaas

Khushboo hain tu, kuch meethi si
Dhun hain tu, ek madhur si

Bol hain tu, ek adhuri kavita ke
Ehsaas hain tu, ek khaali bistar ka
Khamoshi hain tu, cheer ke jaati hui 
Neend hain tu, door bhaagti hui 

Tadap hain tu, ek lambi lagi lath ka
Dhyan hain tu, us tooti samadhi ka

Jab kareeb thi tu toh kadar kaha thi 
Jab chali gayi tu toh takleef kaha thi 
Reth hain tu jo pisalti chali gayi
Rakeeb ke oor tu dhalti chali gayi

Na main ab tere aankon ka noor hoon 
Na main tere dil Ko du, woh sukoon hoon
Bas ab, teri khani ka khatam hua ek panna hoon
Tera ateet ka main ek sira hoon. 

Door kahi choor ke us paar, yadon main dafna hoon.
Tere naye ishq ka main ek marg darshi hoon.
------>
(Buried under a load of past memories,
I am your wisdom to a fresh blossom of love)

(Credits: Bahadur Shah Zafar for picking a line)