Monday, July 26, 2021

Urdu Poems

1.
Tera fusuu.n chada hai mujh par kuch
aisa
Jo fraand request bheja hai din bhar
Usko accept kar lo na zarra.

2. 
Gul-Pairahan tum ho,
Ho tum hi gul-pairahan
Chalo, ab fancy dress khatam hua
Bhaada 220 do!

3. 
Amazon ke bhi ads hai chal rahe 
Myntra ne bhi promotions kar diye 
Friendships day ke insta wishes hai aa rahe 
But 
Dost dost na raha 
pyaar pyaar na raha
zindagi hume tera 
aitbaar na raha.

4.
Muskurahat ke tere ishtiyaaq mein baitha tha kavi 
Tere nath ke hypnosis se pehle bahaar nikle toh sahi.

Ishtiyaaq - longing

5. 
Ryhming sher pesh kiya hai 
Irshaad irshaad 

Ryhming sher jo maine pesh kiya hai 
Iztiraar se followers mere sabhi bhaage hai.

waah waah. waah waah. 

Iztiraar - irritation

Saturday, July 17, 2021

Jawaaani Phir Na Aaye

Boonde aur phool
Aashiqo ke bol ban gaye

Gulaab bhi kaafi
Sabhi ko de diye

Mandiro mein tak
Diye sabhi na jalae

but

Ek baar jo jaaye
Jawaani phir na aaye.
OOO hoooo. jawaaani phir na aaye.