Friday, May 1, 2020

Khuda

Sajde main jab sar jhuka
Toh eh khuda tu yaad aaya
Aasman main baitha kahi
Tera aks nazar aaya

Mohabbat main jab fanaa hua
Toh eh khuda tu yaad aaya
Meri har woh dua ki arzi
Khuda tere paas darz kar aaya.

Jab phas gaya jeevan raah pe
Toh eh khuda tu yaad aaya
Mujhe disha dene ka zimma
Tujhe pe tha chod aaya.

Ab jab chalne ka waqt hai aaya
Toh eh khuda tu yaad aaya
Aazadi de de mujhe mere khuda
Le le tu dulat aur karde rihaaa.

Aasman main dekha toh khuda tu Nazar aaya
Aazad ab falak ki oor main udta tere paas chala aaya.

Song Credits: Rockstar.

No comments:

Post a Comment