Wednesday, April 19, 2017

Dil Ka Aitbaar Nahi

Raaste badle hue kitne saal guzaar diye
Mile na kabhi uski hi tayaari the kiye
Dooriyan badti chali gayi toh jeene ki bhi aadat daal li
Kismat ko manzoor tha shayad yeh hi

Kabhi rubaroo humse hojaao toh kuch mat kehna 
Bas muskurake ke chal dena 
Kahi zikar agar humara ho jaaye toh 
Baat ko tum Yuh hi Taal dena
Jo kuch bhi reh gaya ho tumhare paas
Use dhool bana ke parvah dena
Sameth ke sab kuch yaadon ke saath
Kahi tijori main band ke, guma dena

Kyun ki 

Maana ke hum yaar nahin
Lo te hai ke pyaar nahi
Phir bhi nazrein na tum milana
Dil ka aitbaar nahi.
(I wanted to write something with these lines for I loved this song)

Tuesday, March 21, 2017

A Wandering Sage

Wanderings of a sage is a part of his pedagogy,
Leaving nothing to imagination- for him life is a party.

Trance and sanity, vulgarity and civility- he has experienced it all,
Yet he holds on to his humility for he has made that fall.

What he seeks in not worldly pleasures
But something that can be retained for ever.

Wisdom it is, what he out there for
To spread it with the world for the benefit of all

The ocean of knowledge that flows within 
Can only be summoned if you ask and listen

Look out for a sage who might be in disguise
Set him a stage and his learnings he shall recite

Wise he is and wisdom he will preach
Listen to him and you shall awaken from your sleep.

Thursday, March 9, 2017

Neta ki Neeti

Siyasat ki neeti kuch aisi hain
Baap bete ka nahi, bhai bhai ka nahi 

Ghadbandhan bante aur toot te kaagaz pe sirf
Saath mil ke likhi jaati hain khaani parde ke peeche

Neta logo ke liye ya log netaao ke liye?
Apne liye hain sabhi Neeti toh bas kagaz ke liye

Janta ka paksh toh sabhi rakhte hain
Par apna paksh taye hone se pehle toh kuch nahi koi karte hain.

Yeh bholi hain Janta yeh murkh bhi
Jin ke haath main inhe saumpa woh chatur bhi aur makkar bhi

Bashan de de ke uksana hain zaroor
Jab haath se mamla nikal jaye toh aman banaye rakhne ki arzi bhi kar diya karo huzoor!

Saturday, February 4, 2017

Mehnat

Kaamyabi ke peeche toh sabhi lage hain 
Socha hain ke woh haasil kaise hoti hain?

Mehnat karte jo aage badta hain 
Khoon paseena woh apna seechta hain 

Mauke toh bahut milte hain 
Kehte hain par sahi mauka kam hi ko milta hain 

Mehnat jab mauke se rubaru hoti hain 
Tarrakki khud hi peeche chal padti hain 

Khel toh bas tayyari ka hain 
Aur lagan se tayyari ki jaati hain 

Yeh mat soch ki uska din aya hain 
Yeh dekh kis tarah uski mehnat rang layi hain

Din toh tera bhi zaroor aayega 
Aur us din tu khud ko dena jawab saflta ka.



Friday, December 2, 2016

Love and Lost

Sometimes we let go those who kept us sane
Leaving behind a disk that's got our lives captured by the frame

Recall the past to relive those moments of intimacy and pleasure 
Standing on the sidelines witnessing two souls filled with passion and desire 

It pains to think of those moments that have passed
Moments that are lived only in one's dreams and thoughts 

Taking away those smiles, life is a harsh reminder
Of transcendence into a circle that is nothing short of a trauma

The delicate touch you felt on the tips of your fingers
The giggle that kept you awake for nights together 

This emotion of longing surpasses all feelings
Leaving behind an after taste of the worst battering

Sometimes you let go for sanity
Sometimes you hold on for vanity

Sometimes you let go your precious
Sometimes it never was all that glorious

None the less, those scars remain
On a chilly winter, to remind you of a pain 

Of love and lost
Of a happiness that it cost.

Monday, August 22, 2016

Kabhi Kabhi

Kabhi kabhi kuch raaste aise hote hain jinpe nange pau chalna pade

Kabhi kabhi kuch dard aise hote hain jo rooz ki adat ban jaaye

Kabhi kabhi kuch faisle aise hote hain jine khatam nahi kar sakte

Kabhi kabhi majbooriyan kuch aisi hoti hain jo bas saath hi apne rehti hain.

Gurur Kyun?

Gurur ho toh is baat pe jo garv laya hain
Gurur ho toh us kaam pe jo mukammal hua hain

Guru na kar us cheez pe jo haasil kiya hain
Gurur na kar khuda se kyun ki sab uski rehmat hain