Kaamyabi ke peeche toh sabhi lage hain
Socha hain ke woh haasil kaise hoti hain?
Mehnat karte jo aage badta hain
Khoon paseena woh apna seechta hain
Mauke toh bahut milte hain
Kehte hain par sahi mauka kam hi ko milta hain
Mehnat jab mauke se rubaru hoti hain
Tarrakki khud hi peeche chal padti hain
Khel toh bas tayyari ka hain
Aur lagan se tayyari ki jaati hain
Yeh mat soch ki uska din aya hain
Yeh dekh kis tarah uski mehnat rang layi hain
Din toh tera bhi zaroor aayega
Aur us din tu khud ko dena jawab saflta ka.
No comments:
Post a Comment