Thursday, March 9, 2017

Neta ki Neeti

Siyasat ki neeti kuch aisi hain
Baap bete ka nahi, bhai bhai ka nahi 

Ghadbandhan bante aur toot te kaagaz pe sirf
Saath mil ke likhi jaati hain khaani parde ke peeche

Neta logo ke liye ya log netaao ke liye?
Apne liye hain sabhi Neeti toh bas kagaz ke liye

Janta ka paksh toh sabhi rakhte hain
Par apna paksh taye hone se pehle toh kuch nahi koi karte hain.

Yeh bholi hain Janta yeh murkh bhi
Jin ke haath main inhe saumpa woh chatur bhi aur makkar bhi

Bashan de de ke uksana hain zaroor
Jab haath se mamla nikal jaye toh aman banaye rakhne ki arzi bhi kar diya karo huzoor!

No comments:

Post a Comment