Monday, August 12, 2019

Sauda

Ungli pakad ke jab chalna sikhaya
Tujhe tab oocha kadhe rehna sikhaya

Gir ke jab tujhe uthna sikhaya
Tujhe tab udna sikhaya

Ghere samundar main dubki lagana sikhaya
Tujhe tab dar ko kaboo karna sikhaya

Kush rahene ki har woh kala sikhayi
Zindagi ko jeene ka tareeka sikhaya

Phir kyun kushi ka naam leke
Seekha sab bhoolne ho tum chale?

Kyun chand taaro ki aas main
Khawabo me pul baandne lage?

Nahi zaroorat, nahi manzoor har baat main samjhauta
Phir kyun kar rahe ho apni hi kushi ka sauda?

1 comment: