Monday, August 12, 2019

Aazad

Sun dhyaan se, yeh kavita likhi hai bahut neend mai
Thoda uth ja pehle, yeh bol likhe hai bina kuch soch ke.

Par sun dhyaan se. Ok?
------
Pinjre ka panchi - aasman samjhe chath ko
Chaar diwari ko samjhe woh kainaat
Rheta woh sukoon se.

Aasman ka panchi, uski udaan ki koi seema nahi
Na koi sarhad ka woh mohtaaj hai 
Udta hai tu pankh phela ke.
-------
Dhyaan se sun na, ab punchline hai
Aaram se padna, mera yeh goodnight se pehle ka long message hai

Das, bees, tees, chalis yeh toh khaali number hai
Tu kush hain na, yeh hi tera answer hai.

No comments:

Post a Comment