Chalo aaj tum bano chai aur hum tumhari pyali
Saath saath ab yeh niklegi sawari
Koodte faante kahi toh paunch hi jaayenge
Barsaat main ya sardi main kisi ka din banayenge
Aadha tera junoon aur aadha mera chaya sabhi pe
Tere mere saath ki kahani sabhi ke zubaan pe
Anth bhi hum aur shuruvaat bhi hum
Har kahani ke hain kirdaar hum
Tere aur mere (Chai aur Pyaali) kai roop hain
Tu kabhi Lela toh kabhi tu Heer hain
I write poems on topics that move me in Hindi and in English. You may also find a few sketches which I try to sometimes draw for fun's sake (I am no good).
Tuesday, August 7, 2018
Chai
Monday, February 26, 2018
Ma
Kya chod chali hain peeche tu apne
Isse khandar kahu ya ghar
Veraane main lipte kan kan saare
Shok main hain doobe yeh pal
Soona pan ab gherne laga hain
Hawao ne bhi bolna kuch band sa kar diya
Dil ka Alam kuch aisa hain
Toot ke choor main ab bhikar gaya
Sheehsa hoon main sambhal ke rakha tha tune
Kaha jaau dhoonde tuje, is tarah kyun chal di tu ma.
Ek dhaal thi tu meri is jahan main, ma
Hosla thi tu jab bhi uljha main kuch takleef main.
Woh pal yaad aata hain jab aankh moonde tu sooyi thi ma
Ek baar phir sehla de muhje, godh main phir sula le mujhe
Laut ke waapas tu kyun nahi aati, ma?
Ek akhri baar, tere gale lag ke roone de mujhe ma. Bas ek akhri baar.
Friday, January 12, 2018
Umeed
Hum bhi usi kashmakash main hain
Tum bhi usi soch main doobe ho
Dhas rahe hain hum is daldal main yun
Ghire hain toot ti diwaaro see yun
Nahi hota sehn ab, aur yeh chintai hain ki jaati nahi
Jinta bhago door inse yeh badal banke mandrati rahi
Kuch aisa dikh jaaye, shayad ek tinka hi sahi
Sameth ke anchal main apne daud padenge
Paunch toh jaayenge door koi jahan main hum jo shayad sapno main dekha karte the.
Thursday, November 9, 2017
Tanhai
Tanhai bhi kuch aisi hain
Chahe jitna door use hum kare
Utna hi kareeb aa jaati hain
Rail ki patri si hain yeh tanhai
Aur tation un namb yaadon ki tarah
Yah shayad lakeer hain yeh tanhai
Koi bhi chor pakad lo kahi toh woh le hi aati hain
Yeh Lakeer shayad ek naksha hain
Naksha ek khoyi chabi ka jis se khule
Woh ek dur kahi rakhe yadoon ka sandhook
Aur rail us sandook tak paunchne ka ek zariya
Tanhai jab ood le jisse kabhi kambal ban ke
Kho jaata hain woh uske prabhav main
Aankho main se phir yeh tinka ban kar
Aansu ki tarha behne lagta hain
Tab rail bhi us lakeer pe
Us chabi ki tarha apna raasta khone lagti hain.
Sunday, September 17, 2017
Ehsaas
Panne khaali maine chod diye hain
Kahani shuru hone se pehle hi panne mod diye hain
Kyun naam de is kahani ko
Jab paunch hi nahi payenge mukam tak
Befikr toh bas yeh svabhav hain
Shayad dard ka sirf mujhe hi ehsaas hain
Door chale jaayenge aaj khud hi tumshe
Kyun judai ka tumhe baad main kasth de?
Thursday, August 31, 2017
Shabd
Kuch nahi aisa mere paas
Jaise main keh saku khaas
Pisal jaati hain waqt bhi haaton se mere
Chod ke kai sabdo ke raaz
Kuch samjhe, kuch unsamjhe shabd hain reh gaye saath
Shayad yeh hi de du aaj?
Gathri main band kiye shayad yehi meri amanat hain
Sompta hoon inhe tumko main aaj.
Airline Letter
Kabhi kabhi shabd kam pad jaate hain
Kabhi kehne Ko bahut kuch reh jaata hain
Kalam gar mil jaaye toh
Phir likhne ka ek alag hi maza aata hain
Izhaar karne main shayad baat kuch khaas na lage
Par kagaz se padne ka ek alag hi romance hain
I am not looking for fancy words
May be, just a simple sentence will do?
"You are really pretty".