Maine pathjhad ke saare phool chun liye hai
Maine guldasta banana seekh ke, un phoolo ko saath main piroya hai
Pathjhad sirf tum kyun chunogi
Chun chun ke, akele iska kya karogi?
Phool toh khair har mausam main khilte hai
Yeh khanan(fossil) jo tumne aaj sambhaala hai
Iska tum kya karogi?
Dafna do gi, ya yaado ke saath pirho do gi?
Tumhari hi kavita ka ansh churaya hai
Usse sabhdo main maine pihroya hai
--
Pathjhad ko chodo, tum taare chun lo,
Ve - jab udaas hogi - sirf tumhare liye chamkenge yun
Dil kush hoga,
Muskaan bhi khilegi.
Tera apna ek ambar hoga
And you'll be it's chaandni
No comments:
Post a Comment