Sunday, April 5, 2020

Musafir - Part I

Yeh rasta rooj mujhe ghar leke jaata tha
Par ab yeh pechaan main kaha aata hai
-----
Main khada tha yaha, tere liye
Kisi haal main saath le jaana tha tujhe

Suraj afaq ko choom, kabhi ke nikal liya
Surkh falak bhi ab, siyah ho gaya

Chand ne bhi aaj jaldi dastak de di
Par main khada hi raha taak main, wahi.

Saba ne phir aake mujhe aaj ood liya
Samajh ke mujhe, shayad sehlane laga

Tu aayi zaroor, mujhse mili zaroor
Aise! yeh mujhe kaha tha manzoor.

Is aan main phir naalan kis baat ka
Main toh apni marzi se tha na, ruka.
------
Main toh yun ruka reh gaya ek musafir banke
Tera, mere liye aane ki khabar ko sahi samajh ke.

No comments:

Post a Comment