Wednesday, July 31, 2019

Zero

First
Kushi se ubhar raha Dil
Umeed ki aad main sooya nahi Dil

Second
Socha main dooba
Aas main baitha

Third
Kalpna karta mann
Toote motiyon se ek kahani pirohta, sun!

Fourth
Kahaniyo ko sach maan ke, yeh Mann kalapta
Pagal pan ke kooye main koodta phir, yeh tadapta

Fifth
Bandhuo ko is kalpanic kahani ka arth samjhata
Roota hasta, khud pe ghin karta

Sixth
Rishto ke dhaage todke ek nischaye karta
Aag sa jalta, yeh tabahi ka manzar kuch bhayanak sa

Seventh
Khud ko yun toota dekh, har ek kan samethta
Aur khud se sab theek karne ka vaada karta

Eighth
Ab zindagi ki patri pe wohi khud utarta
Naye libaaz main, ek naya josh lekar

Nine
Aage shunya hai , aage rasta khatam hai bhai
Ab titli ban, phir ud chala hoo main. Soaring through the sky!

No comments:

Post a Comment