Ek paheli thi, samjh nahi aayi
Maine koshish ki, par jaldi haar maan li.
Paheli yeh khud phir saamne se chalke aayi
Socha, isse aaram se suljhaya jaaye
Waqt laga par thodi bahut samajh aa gayi
Aisa lagta tha jaise mujhe ek saathi mil gaya
Zaroori nahi ki har woh saathi anth tak chale
Par yeh silsila yun is sthiti mai lamba chlega
Is paheli main ab itne doob se gaye hai
Ki ab ek dar sa lagne laga hai
Saathi ko apne humsafar ki talash hai
Aur mera humsafar toh kisi aur hi ke saath hai
Ab kya kiya jaaye?
Chilla de ki, eh raahi tu tham ja,
Akele pan se mujhe dar lagta hai?
Veerane main jo tune phool khilaya hai
Seech saath mere, shayad yeh safar lamba chalne waala hai?
Woh khudgarzi hogi na?
Khudgarz hum nahi.
Chnd din ka mehman hi toh hai tu
Kal udaan phir apni lega tu
Jab jaayega bahut kuch mujhe de ke jaayega
Uska mujh pe ek lamba sa udhaar rahega
Meri bas ek guzaarish hai phir
Jab jaao toh kuch rooj pehle hi itilah de dena
Yun achanak chod ke tum ek din nikal na yun jaana.
No comments:
Post a Comment