Sunday, September 15, 2019

Amazing Lyrics - Part 3

Kabhi kabhaar sandesha de de
Kya hai tera haal
Rut pardesi rakhti hogi
Shayad tera khayaal

Yaad hai pipal ke jisake ghane saaye the
Hamane gilhari ke jhhute matar khaaye the
Yeh barqat unn hazrat ki hai
Pehali baar mohabbat ki hai, aakhari baar mohabbat ki hai

Lena-dena nahi duniya se mera
Bas tujh se mujhe kaam hai
Teri aankhiyon ki shehar mein
Yara sab intezaam hai



Ho... Main Hi Toh Hoon, Tera Pata
Hai Doosra Na Koi Raasta
Aaye Mujh Tak Wo Tumko Jo Ho Dhoondta
Meri Khamoshiyon Mein Hai Tu Bolta

Song Credits
1. Je Ve Soneya
2. Pehli Baar Mohabbat
3. Zehnaseeb
4. Mahi Ve

Ishq tha shayad!

Woh badta gaya toh khoon behta gaya.
Woh nikalne laga toh ghav badta kya.

Churi thi ya Ishq.

Shayad Ishq hi tha jo jaan leta gaya. 

Sifarish

Na chali koi rishwat
Na udhaar mein li sifarish

Ishq ki arzi meri kuch aisi hai
Jaise-

Sarkari daftar ki Madam Ji tu
Aur
Rooj chakkar kaat ta main aam aadmi.

Wednesday, August 28, 2019

Parsu Ich!

Arz kiya hai:
Parsu ich main tumko mila
Parsu ich apan dawat ku gaye.

Response:
Kya parsu ich, parsu ich kar ra re?
Saal hora, kausi duniya mai reh ra re?

Arz kiya hai:
Salgirah tumhari tumhare ko mubharak
Sher pasand nahi aaya toh, darwaze se sarak.

Sunday, August 25, 2019

Nowhere

There is no way but up

When you are on the bed of rocks
And time seems to stop
The entire world seems to weigh down on you
And you start to wonder, if it is just a dream

There is no way but up

When you have your legs on two boats
And you choose the one that's afloat
When you are battling the right from the wrong
Yet choose the wrong for the right never felt strong

There is no way but up

When your loved ones start to leave
And you find yourself all alone in the deep
When you lay down and thoughts won't leave
You try hard but just won't fall asleep

There is no way but up

When you look up and see the longest climb
It then dawns on you, it's about time
When you take the first step again
Let me tell you, from all this pain (you endure)

There is no way but up.
There is no way but up.
There is no way out but higher above. 

Mukammal Jahaan?

Gardish main phasi naav hai
Chingari se, sulagte ghaav hai

Raakh ban chuke hum hai
Phir kaise mukammal yeh jahaan hai?

------

Samundar ki lehro se harte
Dard se darte bhagte

Wajood humara khatm hai.
Phir kaise mukammal yeh jahaan hai?

Monday, August 12, 2019

Aazad

Sun dhyaan se, yeh kavita likhi hai bahut neend mai
Thoda uth ja pehle, yeh bol likhe hai bina kuch soch ke.

Par sun dhyaan se. Ok?
------
Pinjre ka panchi - aasman samjhe chath ko
Chaar diwari ko samjhe woh kainaat
Rheta woh sukoon se.

Aasman ka panchi, uski udaan ki koi seema nahi
Na koi sarhad ka woh mohtaaj hai 
Udta hai tu pankh phela ke.
-------
Dhyaan se sun na, ab punchline hai
Aaram se padna, mera yeh goodnight se pehle ka long message hai

Das, bees, tees, chalis yeh toh khaali number hai
Tu kush hain na, yeh hi tera answer hai.