Friday, January 31, 2020

Left Behind

These remnants of a time 
Time that just flew by 
These fossils that don't die
Death of a life left behind 

Stored away in the safest space
Space that's supposed to be erased
Stored for you to stumble upon
A trip to the land of a forgotten face

These remnants of a time 
A cruel reminder of life 
Of broken promises and of strife 
Bringing back, a you, purposefully left behind.

Wednesday, December 18, 2019

Main Hoon

Main shayad aas paas tere humesha na rahu 
Par main hoon
Main shayad apne aap se tere liye ladu
Par main hoon

I am not as perfect as you perceive me to be 
But I am looking out for you.
I may have my prejudices and my way of life
But I will have your back. 

Kahi cheeze aisi hoti hai jo hum apne hisaab se ho chahte hai
Kahi cheeze aise bhi hoti hai jo hume bhaati nahi hai.

I am as flawed as they come
I may be as complex as they come 
Par tere liye main humesha hoo 
Tere liye main sab kuch ek kar du. 

Bas sirf tere liye main hoon.  

Tuesday, December 17, 2019

Cheesecake

Humne kabhi poochna seekha nahi 
Aur unhe mana karna aata nahi 

Humne poochne poochne me waqt guzaar diya
Aur unhone hume humesha taal diya 

Ab phir kalam ke peeche chupne chale hai 
Unhe ab shabdo se pooch ke rahnge 

Cheesecake ka toh pata nahi hai kuch 
Par sabse best waala doondke rahenge. 

Monday, November 25, 2019

Beet Gayi

Raat gayi jo baat gayi
Raakh bana ke dil ko mere, tu chale gayi

Har naam hum ko tu bol gayi
Har kaam hum pe tu chod gayi

Raat gayi jo baat gayi
Zindagi ateet main mere yeh beet gayi

Friday, November 1, 2019

Aadat

Yaha dil ab tak dhadka nahi hai
Yaha dooriyan ab tak mehsoos nahi ki hai

Jab saanse tham jaati hai
Toh bas tera chera hi nazar aata hai

Isse ishq kahu ya kahu tadap
Tujhe chahne lage hai ya bas teri ik aadat si ho gayi hai?

Wednesday, October 30, 2019

Diwali

Lo aaj bhi aagayi naye libaaz pehn ke diwali 
Bhikre patte samet ke, aangan ko diya se roshan karne waali diwali 

Bachpan se par thodi alag hai ab yeh diwali 
Hum chutti pe hai par
Aaj daftar main bhi koi manayega diwali 

Kya mazab dekhte ho kya bhagva rang?
Yeh na teri hai na meri hain - yeh toh sabhi ki hai Diwali.

Mandir yahi Banega ya Masjid yahi Banega - tumhe is se kya milega,
Jo ghar se door hai, ya jo ghar pe hai - gale lago toh aao aaj - yeh sabki jo hain Diwali.



Friday, October 25, 2019

Aangan

Chod ke aangan Mera 
Chal padi main thaam ke haath tera 

Kabhi lehro main 
Kabhi Shaant samundar main
Saath chali thaam ke haath tera 

Kaha woh apna ghar tha
Kaha woh galiyon main garam jalebi ki mehek
Chod ke sab, saath chali thaam ke haath tera.

Peeche mud ke ab kya dekhna 
Saath Jo chali thaam ke haath tera
Ab mil ke saath basaenge hum ek naya basera