Tuesday, September 1, 2020

Karna Kya Hai, Pata Nahi.

Mujhe haar baar ki tarah iss baar bhi ek kahani mili

Karna kya hai uska pata nahi.

Mujhe haar baar ki tarah iss bar bhi koi prerna mili

Karna kya hai uska pata nahi


Mujhe phir na jaane kyun tum mili

Beech sadak pe gajra khareedte hue

Kabhi Gol Gappe khaate hue

Kabhi apni gali ke dogs ko naam se bulate hue

Ya yun hi apni dhun mein टहलते hue


Par iss baar main ruk gaya

(stalk nahi kar raha tha, promise)

Kyun ki mujhe pata tha karna kya hai

Mujhe tumhe, tum hi chod dena hai


Tumhare mehendi ke rang si shaam mein

Tumhare phoole ke khawaabo mein

Jahan mein kuch nahi hun 

Bas ek behta badal ya 

Shayad koi awaara sa bhanwra?


Mujhe ab ek prerna mili hai

Ek kahani bhi mili hai

Jo sab tum hi se prerit hai


No comments:

Post a Comment