Tuesday, February 19, 2019

Ramblings of an empty mind/Socta hoo

Yeh akelapan mera mujhe gharne laga hai
Khaali kamre ki diwaare meri taraf bad rahi hai
Main chilla raha hoon, mujhe aazad hona hai
Hasti, yeh saari bediyan, mujhe aur bhi zoor se jakar rahi hai
Sochta hoo main yaha kaise phas Gaya,
Theek hi toh tha, phir kaisa yeh chakrvyu hai 
Arjun nahi main jo iska tod jaanta hoo
Abhimanyu hoo, par isme marna nahi chata
Phir kaise yaha se bahar nikla jaaye?
Dheeraj rakhu ya is bhavana se ladu?
Sochta hoo ki ab haar Maan lu
Aur ek veer sainik ban ke balidaan de du
tyaari toh pakki thi par har khel toh main Jeet nahi sakta
Shayad kahi aur mujhe meri Jeet milegi, shayad waha mujhe meri aazadi mile?
Pata nahi, shayad haar Maan ke dekhte toh hai.
Pata nahi, shayad Jeet hi jaau?

No comments:

Post a Comment