Like a rainbow she comes and goes
Rousing and veering men off their daily chores
I write poems on topics that move me in Hindi and in English. You may also find a few sketches which I try to sometimes draw for fun's sake (I am no good).
Saturday, November 21, 2015
She comes and goes
Thursday, November 19, 2015
Tum Paas Hoo
Bahoon main the jab uske toh bas usi main chaha rehna
Har pal woh tha humaara, woh har pal main muskurake jiya
Hooton se tere main kahaniya suna
Aankon se tere unhe bunte dekha
Aanchal main tere main khud ko khoya
Bechain mann ne tab jaake kahi saans liya
Har pal ab main yehi socha karu
Ki is pal kyun na tu kareeeb aata
--
Aana bhi chahu toh main kareeb na aau
Haalat ke aage main bhi kuch na kar paau
Mauke tujhe bahut diye
Par tu kabhi samajh na saka
Pyaar main tere main doobti rahi
Par tu kabhi kadar na kiya
Jaana toh tha kabhi na kabhi
Par is baar toone ki door kiya
Bula raha hain ab phir tu mujhe
Mudke aana bhu chahu toh na aa paau
Thak gayi hoon sambhaalte hue tujhe
Ab is dil ko samjhane ki himmat bhi na chaahu
---
Kyun chubte hain yeh lafz tere
Kyun baraste hain yeh nain mere
Tu hain har waqt zehan main mere
Kya yeh na sudharne ki saza hain hain mili mujhe?
Bas ek pal yun aao paas
Gale laga ke keh do aaj
Ki pyaar hain tumse aaj bhi
Par yeh na bolo uska ehsaas nahi
Saturday, November 14, 2015
Thursday, November 12, 2015
Drunk Shayari
Ke dard na hota ehsaas na hota
Dil tumhaare agar na kareeb hota
Jaha bhi jaaata na tumhe doondta
Par yeh hi kushi maanta rehta
Yaari na hoti pyaar na hota
Agar na tumse mila hota