Wednesday, February 18, 2015

Nirbhaya

This poem, I have taken inspiration from a few events of Mahabharata.

Ilzaam laga hain tumpe, ki tum ne usse uksaya,
Netao ke bhashan sunke kyun phir krodith hoye?
Keh diya toh kya hua, amal toh kuch na kare.
Janta toh katputli hain yeh, khel dekh dekh sooye.
Suno Nirbhaya shashtr uthao, yeh ab kuch na kar paaye.

Dharna nikla, hartaale hui humne baat toh apni rakhi,
Moombatti ki mashaal hain hum, isse bhujne na de kabhi.
Par,
Waqt aaya jab tum aankh moond ke kyun phir chal diye?
Kya hua us raat ka jab jab un sab ke rakhsa ki tum baat kiye?
Suno Nirbhaya shashtr uthao, yeh ab kuch na kar paaye.

Baaton main hi reh gaye, josh sirf chand ghanto ka tha,
Par the jabaaz kahi jo aage aaye, aur sashan ki jaal main phase,
Nikalna chahe bhi toh na sake, jaal main jo ulajh te gaye,
Suno Nirbhaya shashr uthao, kyunki govind bhi sirf kahaniyon main the aaye.

No comments:

Post a Comment