Tuesday, November 3, 2020

Hijr ka Zakm - toh kaafi ghera

 Sun e-chanda, tere dil ka haal main jaanu hun

Ishq tere ka anjaam - toote dil - pe kya likhu?

Iss dard-e-tanhai ka aalam kuch aisa raha

Taron ki sohbat mein
Jaam ke nashe mein
Raat bhar tu roota raha
Kabhi poora dikha
Toh kabhi nashe mein dhuth, gayab raha
Ishq mein fanaa hua
Ishq mein banjar raha!

Dharti, tera kya main kehna sunu
Chanda toh tere ishq se mazloom raha
Tu insaa ke ishq se mahrum raha
Ab shab mein jo jhalak mil jaati hai
Ussi se teri raaten kat jaati hai.

Yeh dekh kavi ne tab likha
Hijr ka yeh zakhm, toh kaafi ghera
Raqib sang jab tujhe dekh
Chanda dozakh ja pauncha
Aur tu, kisi aur ki ishq mein
Har rooj thoda sa katl hua!

No comments:

Post a Comment