Roshan kam hain jab zindagi
Toh raat ka andhera hai hum
Chand taare tum the raat ke mere
Ab amavas mein jee rahe hai hum
Par ehsaas iska jo hai
Tumhe thodi hai khabar?
Yeh गम toh mera hai
Tumhe thodi hai khabar?
I write poems on topics that move me in Hindi and in English. You may also find a few sketches which I try to sometimes draw for fun's sake (I am no good).
Roshan kam hain jab zindagi
Toh raat ka andhera hai hum
Chand taare tum the raat ke mere
Ab amavas mein jee rahe hai hum
Par ehsaas iska jo hai
Tumhe thodi hai khabar?
Yeh गम toh mera hai
Tumhe thodi hai khabar?
Majboor hum bhi hai
Majboor tum bhi ho
Hum bas dil lagate hai
Tum utna hi door bhagte ho
Kuch paagal mein bhi hoon
Kuch suljhi hui tum bhi ho
Hum bas chand ki tareef mein raat guzar dete hai
Yum taaro ke saang us-e bita deti ho
Mein waqt ko dhoonde nilkla hun
Mujhe waqt se kai sawaal karne hai
Kuch aise jin ke jawaab waqt ke paas bhi na ho
Par mein waqt se milne nikal chuka hun
Jab milunga, waqt ka shagird ban jaunga
Tumhara zikr zaroor karunga
Shayad laut ke waapas na aau
Par waqt ko tumse milne bhej dunga
Mein waqt se milne nikla hun
Mein waqt se milkar hi laut ta hun
Lahu kahu, ya kahu isse mein rang?
Chalo, Rang hi keh dete hai,
Kyunki
Har baar dil tootne pe rang hi behta hai
Lahu toh sirf ek hi baar desh ke liye bhaya jaata hai
Maine Whatsapp pe bhi block kiya
Maine Facebook ko delete kar diya
Maine Instagram bhi delete kiya
Phone number bhi finally change kiya
But
Subah Shaam kare mera jiya.
piya piya oh piya piya
piya piya oh piya.
WOH KEHNE LAGE
RUHANI AWAAZ HAI TUMHARI
WOH KEHNE LAGE
IS AWAAZ MEIN GHUL JAU ME SAARI
WOH KEHNE LAGE
IS AWAAZ MEIN KUCH SUNA DO RUMANI
MAINE GALA SAAF KIYA
AND
BABY SHARK DOO DOO, DOO DOO DOO DOO MAMA SHARK DOO DOO, DOO DOO DOO DOO
पिटेगा में डू डू, डू डू डू डू
Woh bas ek hi chamakta jhumka
Woh ek haath pe saji mehendi
Woh lukha chupi khelte nain
Woh Madham si roshni!
In sab mein,
Woh halki si muskaan
Aur dhalte suraj ki kirno me chupti tu
Nazakat shabd ka arth hai tu
Uss khoobsurat si ada pe
Qurbaan ho jaau main.
Mujhe haar baar ki tarah iss baar bhi ek kahani mili
Karna kya hai uska pata nahi.
Mujhe haar baar ki tarah iss bar bhi koi prerna mili
Karna kya hai uska pata nahi
Mujhe phir na jaane kyun tum mili
Beech sadak pe gajra khareedte hue
Kabhi Gol Gappe khaate hue
Kabhi apni gali ke dogs ko naam se bulate hue
Ya yun hi apni dhun mein टहलते hue
Par iss baar main ruk gaya
(stalk nahi kar raha tha, promise)
Kyun ki mujhe pata tha karna kya hai
Mujhe tumhe, tum hi chod dena hai
Tumhare mehendi ke rang si shaam mein
Tumhare phoole ke khawaabo mein
Jahan mein kuch nahi hun
Bas ek behta badal ya
Shayad koi awaara sa bhanwra?
Mujhe ab ek prerna mili hai
Ek kahani bhi mili hai
Jo sab tum hi se prerit hai