Sunday, July 26, 2020

Bhajan - Inspiration

Radhe bina shaam hai adha
Chanda bina raat hai gheri
Manjhi bina kaha kinara 
Tere bina nahi yeh kahtaa

Sanjh ke bina chidi kaha
Ghar ko waapas tere aate
Kaajal bina aankh hai sooni 
Mere bina kya tu hogi poori?

Sooraj bina din na hota 
Bol bina yeh geet na rachta
Sparsh gar, mehsoos na hota
Prem ka ehsaas tumhe na hota 

Madira bina maikhana na hota
Saaqi bina phir mehfil na hoti
Gehri yaha gar baaten na hoti
Meri kami mehsoos na hoti

Raah bina rahgir na hota 
Kuda bina tu peer na hota
Jeevan main gar prem na hua
Bichdan ka dard phir kaise saha

No comments:

Post a Comment