Waqt aur Mann
Hain is Aan ke do pehlu
In pehluo ka kaidi main
---
Mann ki paribhasha kuch aisi hai
---
Jaise chanchal hawa ka rukh
Jaise saanth sagar ke kinare ka sukh
Jaise krodith ho uthi nadi ki baad
Jaise sahar ki, sammohit karti ek raag
----
Waqt ki paribhasha kuch aisi hai
---
Jo samajh gaya woh gyaani
Gar na samjha toh man maani
Yeh lekhak hai, lekh likhe kuch anokhe
Na sune na samjhe, yeh kabhi na kisi ke liye tehre
----
Waqt aur Mann
Chahe koi kitna kehle
Na samajh mae chale jaata hoo
Inke sangarsh main, zindai -
Meri baatae jaata hoo.
No comments:
Post a Comment