Sunday, January 24, 2021

Bhai ka Fragile Ego

 Hi 

Don't say bye 

I will die 

Just reply 


I'll make you cry 

Throw you from sky 

Then you die 


Bhai hoo main bhai 

With an ego that's fragile








Humara Muse - Stri

Hum kaviyo ki ek gazab aadat hai 

Hum har yug mein janam lete hai 

Hum uss yug ki khoobsurati ka gaan gaate hai 

Hum uss yug ki ninda bhi karte hai 


Aur hamesha, har yug mein prerna humari

Koi ek stri hoti hai.

Tara and Ped - Milo

Woh tara hai tu

Dur kahi 

Yeh ped hoo main

Aas meri


Mil jaaye hum

Kyun nahi 

A melody, A symphony - A Ballad

Nadi ke छोर se nikle jo

Samundar ke तट्ट pe jaa paunche 


Hai toh doono kinare hi

A flowing possibility

A vast opportunity


Hai toh doono paani hai

A life giver 

A life harbour 


Hai toh doono ek sur hi

A melody

A symphony


A union of 2 equals

Main tujh mein mil jaau

Yeh hi hai fitrat meri


Tu mujhe pa ke zinda rahe 

A ballad of this union

Will be sung across all ages

Ikk umeed Ki dua hoon

Main har roj dafn hota hu

Main har roj dua banta hu

Main dafn hue uss ishq ke

Ikk umeed ki dua hoon

In your Absence - Kuch nahi tha.

In your presence

In your absence


It's me who needs to change 

It's me who has changed 


It's me who is dependent

It's me who has suffered.


it's me who is not absolutely sure 

it's me who wanted this surity 


in your presence - now I am free

in you absence - I didn't have anything

Toota Dil hai Ya Zindagi ka sabab

Kisi ne ek roz poocha mujh se

Kitna dard hai tumare dil mein?


Toota dil hain ya bas zindagi ka sabab

Ishq hai wajeh, ya kisi lath ki hai talab?


Aadat hai janaab, insaan ki mujhe

Ishq thi ya madhoshi, nahi pata mujhe

----

Par eshaas toh hain iss baat ka ke

Kami mehsoos hoti hai aaj bhi mujhe


Bayaan par kya hi kare hum

Sabhi - yaha sabhi - ke dil mein kaafi bhara hain gam.


Toh bas do peg laga lete hai 

Uske naam ka kadva ghoont yun hi pee lete hai

---

Dekh ke raqib ko raakh hote hai

Saaqi ke saath gam kuch hadh tak baat lete hai


Aasun ka ek katra bhi nahi baha te hai

Gam ko - shabdo se ek kavita mein piroh dete hai


Aaj bhi uss insaan ko yaad toh karte hi hain

Par saath jeene ki tamannah nahi rakhte hai.