Friday, April 1, 2022

Goa mein Judging Animals

Jheel ke shor mein baithi
Insects ka Sur sunti 
Indian idol ke judge ke feels mein 
Sur thoda choot raha hai keh kar

Main awakening ka wait karti 

Sar sar karke girte patte 
Raat mein mendak khaati lizard
India got talent ki judge ke feels mein
Aur behtar ho sakta tha keh kar

Mein apne trademark style ki khoj karti 

Goa ke man made resort mein
Indian reality ki judge banke 
Khud ko khojne nikli 
Insta par stories daalti

Awakening ka mere wait mein karti

Sunday, March 20, 2022

Aahun Aahun Aaahun

Jee toh chahta hai teri zulfon mein gum ho jaau 
Tere dil ki raah pe bas chalta hi jaau 

Tere naino ke baadalo pe ghar basau
Tere a.ngo ke har mod pe mud jaau 

Ankh lad jana
Mar muhk jana
Ekko ek kahani baas badle zamana
Aahun aahun aahun
Aahun aahun aahun

Chicken kukdu ku

Mere bagh ki baghbana tu
Mere har subeh jaagne ki wajah tu
Mere ghar aane ki wajah tue
Mere kavita ki muse bhi tu

Kyu ki
Har marz ka ilaaj 
Chicken kukdu ku
Yehi kehta hai Aaj chickenk
Kukdu ku

Window and Kiran Love

Raat bhar khidkiya andhere ko taak ti rahi 
Ikk umeed mein ki ab aayega savera 
Kidhiyon se chan ke aaye hai dhup ki kiran
Farsh pe lekin aadhi parchaiye bhi laayi hai kiran 

Khidki se pooche Kiran,
Kyun tu aane na de saari hume
Kyun tu parde karne lage humse
Khidki bole, 
Aaj aaye ho - kal bhi aaoge 
Mere andar bas ke 
Mujhe khush kar jaaoge
 
Par jaaoge zaroor 
Chod ke akele 
Phir raat bar taaku 
Ke ab aaye mera savere 

Hasrat milan ka meri poori kab hoye
Har shab hai bhichdan humaara
Har subeh hai vasl.

Canvas pe Apsara si

 Aandhi ke kaale baadlo si
Teri zulfo mae kho jaau

Kumud ke phool jaise naino mein tere mae
Bhanwara ban ke soo jaao

Tere gulab se laal hooton se rasti chasni
mae ban jau

Tere har ek ang ke har mod pe
Mae ruk jau
Tujhe sarau
Tujhe kareeb se jaanu

Jis tarah koi chitrkaar apni chtr rachta hai
Tujhe mere canvass pe apsara ka darja du

Aur ek kavita - meri yeh kavita
Humare hone ka pramaan bana du
Tere mere ishq ka yeh byaan darj kar du
Tujhe mein simat jaau
Jaise simat ta hai askash mein chand

Mera hona tujh se hai
Mera na hona bhi tujhi se hi hoga.

Friday, February 11, 2022

Laal Hoont

Laal hue hoont
Banarasi Paan khaa ke

Laal hue hoonth 
Red lipstick laga ke

Laal hue hoont 
Barf ka gola kha ke

Ab laal honge hoont 
Sabhi ki maar kha ke 

Random Shabdo se thodi banti hai kavita?

Wednesday, January 26, 2022

Woh Dost Hi Kya

 Jo baat se taal de 
Woh dost hi kya 

Jo call na kare 
Woh dost hi kya

Tere baalon ki tareef jo na kare 
Woh dost hi kya 

Aur baloon pe tere jo chingam na chipkaye Woh bhala, dost hi kya!