Wednesday, November 10, 2021

I am a paper boat - drowning

Maine kagaz ki tairti kashti se poocha
Tu kis kitab ka hai re panna?

Jawaab kuch yun aaya,

Mein khat thi
Ek Prem patr thi

Aaj kashti hu
Tairne hu nikli

Kisi ki kahani
Bhulane chali hu

Tuesday, November 2, 2021

Troll - Hidden / Gaibat

I am Gaibat 
I am a troll 

No qualms in calling you a whore
I may be left, I may be right 
Mazag mein rape threats to your wife 

I am Gaibat 
Out of sight 
Propaganda on your mind 
Your command will be mine.

Tuesday, October 26, 2021

Billo Raani Permission Maangi

Oh billo, you are so yummy (tareef) {wink wink}
Will you become my biwi (permisson) 
So that I can call you rani (guzarish) 
and 
Sing a song by daler mehndi (romaance) 

Oh billo raaaani - kaho toh ab jaan de du

Monday, October 25, 2021

Darakht ka Phal - Udaasi

Dusro ka dukh apna ke
kavitayen rach ke 
khud uss peeda ko jee ke 
khudi se yeh kehte hai 

kavita/likhna udaasi ke darakht(tree) pe lagne waala phal hai 
tursh(sour) hai siirat iski
Iski hai yehi khaasiyat 

Friday, August 13, 2021

My best friend

Mere प्रिय mitr
Yeh kavita likhi hai tumhare liye

Jaa ke doob mar
Call kare toh सौ saal baad uthayega

Ladki mil gayi toh
Let's go get drunk nahi ho raha

Jhanaum mein jalega saale
Kunware dost ki haayi lagegi.

Aasha karta hu कि yeh khat
Aapko best of health mein mila hai.

धन्यवाद

Monday, July 26, 2021

Urdu Poems

1.
Tera fusuu.n chada hai mujh par kuch
aisa
Jo fraand request bheja hai din bhar
Usko accept kar lo na zarra.

2. 
Gul-Pairahan tum ho,
Ho tum hi gul-pairahan
Chalo, ab fancy dress khatam hua
Bhaada 220 do!

3. 
Amazon ke bhi ads hai chal rahe 
Myntra ne bhi promotions kar diye 
Friendships day ke insta wishes hai aa rahe 
But 
Dost dost na raha 
pyaar pyaar na raha
zindagi hume tera 
aitbaar na raha.

4.
Muskurahat ke tere ishtiyaaq mein baitha tha kavi 
Tere nath ke hypnosis se pehle bahaar nikle toh sahi.

Ishtiyaaq - longing

5. 
Ryhming sher pesh kiya hai 
Irshaad irshaad 

Ryhming sher maine pesh jo kiya
Iztiraar se mere followers sabhi bhaage hai.

waah waah. waah waah. 

Iztiraar - irritation

Saturday, July 17, 2021

Jawaaani Phir Na Aaye

Boonde aur phool
Aashiqo ke bol ban gaye

Gulaab bhi kaafi
Sabhi ko de diye

Mandiro mein tak
Diye sabhi na jalae

but

Ek baar jo jaaye
Jawaani phir na aaye.
OOO hoooo. jawaaani phir na aaye.