Wednesday, May 19, 2021

Qabr mein bhi saala no sukoon

Dard ka aalam kuch iss kadar raha
Qabr tak mein sukoon na raha

Jo reh gaya 

Woh bas tu hi raha

You follow the lights back home

When your hope starts to wane 
Follow the lights back home 

Yes it breaks your heart
See see someone you love sad

To watch the road end for them
Or a struggle that just doesn't seem to end

I can never feel this pain of yours 
But I can try to write a few good words 

I am no Manto or Elia to soothe you
But I try to write and calm you

So when you feel like all is lost
You follow the lights back home

You are the mark they leave behind 
You live and they'd always remain alive. 

Nails need cutting

Nails need cutting once a week
But a few keep them as it is 

They grow and are adorned with paint
Whole I wonder how not it breaks 

Maanjra yeh hai - ki woh badte hai
Mere toh kaam karne pe toote hai

Par aap mohterma kaise sambhaalte hai
Mere tootne pe - behad dard de te hai

Bartan na maanj saku
Na likh saku with a pen 

Tum kaise manage karte ho to grow 
And file them to look pro

What do you do while making love 
I pity the guy, you can't get enough :'(

Amavas ke baad dekhne milti hai

Ek dil chand ka bhi khilta hai
Jiski muskurahat hume
Amavas ke baad
Dikhayi padti hai

Sunday, May 2, 2021

Teri yaad se mein amar hua

Lipti rahi mujh se tanhaai
Badan ne ki manmani 
Na soo saka 
Na jaag saka
Saath rahi bas tanhai 

Jal ke mein phir raakh hua
Qabr mein dafn yeh khaak hua
Jo raha so bas dard raha 
Khaak se mein phir baag hua 

Baag mera hai chaman se bhara
Par ek phool kuch alag sa khila
Dil se mera woh tha nikla
Aur teri yaad se mein phir amar hua.

Wednesday, April 28, 2021

Yeh raat bas kaatni hai

Ye raat bahut hi kaali thi
Jaise kaise bitani thi

Kae toh khud ko kho diye
Kae yun dum tod diye

Lehre bhi kuch tham si gayi
Bechaini kuch bad si gayi

Ye raat bahut daravni thi
Kitno ko yeh nigle gi

Kya saath dega tu mera rahi
Kuch dur tak hi sahi

Suraj kabhi toh nikelaga hi
Kabhi toh yeh andhera hatega hi

Ye raat bahut hi kaali thi
Jaise kaise bas kaatni hi thi


Sunday, April 25, 2021

Jis din tu Kabr mein Soyega

 Jis din tu apne kabr mein soyega 
Khud se yeh zaroor poochega 
Lashe itni kyun hai kabristan mein
Kaun kaun hai dafna yaha pe

Har woh shakhs jo कटा hai
Har woh shakhs jo जला hai
Jis din tu apne kabr mein soyega 
Laasho ki cheekh ab tu sunega 

Jo raakh hue jo khaak hue 
Maati mein jo ja mile
Jis din tu apne kabr mein soyega
Woh माटी ka bhi naseeb nahi paayega 

Jis din tu kabr mein apne soyega 
Us din yeh desh tujhe bhulega 
Har woh khoon ka dag tab dhulega
Jab tujhe desh yeh bhulega।