Mashaal hu mae
Ek bujhte diye ki lau se jali
Dheeme se roshan karti hui
Viraan pade ek ghar ko
Jaha kabhi bacche khelte the
Vede mein mirchi soo.kha karti thi
Chath pe papad suka.e jaate the
Jaha kabhi daadi raha karti thi
Jhilmilati hui iss roshni mein
Dhundli padi ka.e yaaden hai
Lukka chuppi khel rahi hia
Aur milne ki ummed bhi kam hi hai
Buj jaayegi yeh mashaal bhi ab
Gir jaayegi sab deewar bhi
Mit jaayega iss ghar ka pata
Reh jaayegi bas kuch yeh panktiyan
Saboot - ki hum kabhi the
Roshni bhi thi, andhera toh ab hua hai.