Thursday, July 20, 2023

Manipur Violence

 Yeh chooro ki basti mein 
Kaha tum taala dhoondne nikle ho
Yeh andho ki basti mein 
Kaha tum chasma pehne lage ho 
Yeh goongo ki basti mein 
Kaha tum gaana likhne baithe ho
Yeh behro ki basti mein 
Kaha tum gyaan baatne nikle ho

Kaabil toh tum tab hote 
Jab nafrat ki aag mein na jhulaste
Sahib ki isharo pe nage hoke na naachte
Chand rupiyo ke liye hevaan na bante 
Tum tab, shayad, shayad, insaan kehlaate

Bebas aur ni.hato ko na maarte
apne mard hone ka pramaan patra 
yun khule mein parade kar ke na jaatate
neech aur ghinone harkato se sirf khud ko tum napunsak ho batlaate 

thu hai tum sab pe.

Thursday, March 23, 2023

Ishq mein tere Kajal ne mara

 Aankiyon ke kajal ne tere 
Teer chalaye ghere ghere 
Dil ko cheer ke nilke thode
Nikle thode, Ishq ka ghav kar ke 

Ab dooba hu mein in aankon mein tere 
Jaise doobe khasti koi
Bhete paani mein kagaz jaise 
Na bacha koi nishaan na bacha koi insaan

Ishq mein tere, Ishq mein tere 
Doobe hue insaan ko tere 
Ishq ne jakda kaajal se tere 
Aankhone se mara, hu Ishq mein tere.

Sunday, February 26, 2023

Gazal Yaad Rakhna hai

Maine Lafzon ke daa.iro mein kuch chupa ke rakha hai
Khud ki khaamiya pheliiyon mein chupa ke rakha hai
Apni zindagi ke alfaazon se kahanio ko piroh ke rakha hai
Meine khud ko kisi khat mein chupa ke rakha hai

Uss murjhaye hue phool ki tarha, koi kitab mein rakha hai
Bhoole kisi geet ki tarah casette mein record kar ke rakha hai
Bachpan ke ek kitab ko almirah mein rakha hai
Meine khud ko bade sambhaal ke rakha hai

Shabd toh yeh mere apne hai
Meri dhaal ban ke mujhe sambhaal ke rakha hai
Meri paheli ka jawaab woh ek Gazal hai - tujhe shyaad yaad hai.
Mere baad iss Gazal ko kisi ne yaad toh rakhna hai