Ishq ke dariya mein paau jo rakha
Toh doobte chale gaye
Manjhdaar se seekh ke tairne ko lage
Toh dariya ki dhara mein behte chale gaye
Jab Kinare paunche kahi jaake
Toh baarish mein bheegne lage
Jab jaake ped ki chaaya mein baithe
Toh cheetiya kaatne lage
Kahi jaake kisi patthar ke neeche soone lage
Toh macchar ne soone nahi diya
Ishq kavita likhne ka mood tha
Maine Bear Grills ka episode likh daala.
Ishq bhi kuch aisa hi hai
Raat mein 'Dare you touch me'
Toh subeh 'Chai toh laa hi sakte ho aap'
Aap!