Monday, May 16, 2022

Kheere ko milta hai Salon

Jaise badal ko mil jaati hai barsane ki jagah 
Jaise bhawnro mil jaate hai phool kayi

Jaise chuhe ko mil jaati hai chupne ki jagah
Jiase जूएं dhoond leti hai baalon mein ghar 

Jaise chipkali ko mil jaati hai deewar koi 
Jaise mendak ko mil jaate hai macchar kayi 

Waise hi

Har Aloo ko milti hai uski bindi ya gobi kahi  
Aur har kheere ko mil hi jaati hai saloon mein aank.en koi. 

Tuesday, May 10, 2022

Faiz, Pritam aur Jaun

Amrita Pritam kiise de canvas te utarna chaundi si
Mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na mang, tha kehna Faiz ka 
Jo guzri na ja saki zindagi, woh Zindagi Jaun ne guzar di


Ishq ki aag mein kaun nahi jala hai
Kavi bhi jala hai 
Kavi bhi dooba hai
Tum bhi rooye ho
Tum bhi toote ho 
Par kavita kaun bana hai?
Na tum na mein 
Kavita toh bas yaaden bane hai
Jaise mala mein pirhote bikhre mooti
har dard ka mo.ti,
har toote khwaab ka mo.ti 

Main bhi kisi ke canvas pe Ishq banke utrunga 
Main bhi kisi se pehli si mohabbat karunga 
Main bhi zindagi jo guzari nahi jaati woh guzaarunga
Main bhi Ishq kavi ban ke amar ho chalunga.