Hi
Don't say bye
I will die
Just reply
I'll make you cry
Throw you from sky
Then you die
Bhai hoo main bhai
With an ego that's fragile
I write poems on topics that move me in Hindi and in English. You may also find a few sketches which I try to sometimes draw for fun's sake (I am no good).
Hi
Don't say bye
I will die
Just reply
I'll make you cry
Throw you from sky
Then you die
Bhai hoo main bhai
With an ego that's fragile
Hum kaviyo ki ek gazab aadat hai
Hum har yug mein janam lete hai
Hum uss yug ki khoobsurati ka gaan gaate hai
Hum uss yug ki ninda bhi karte hai
Aur hamesha, har yug mein prerna humari
Koi ek stri hoti hai.
Nadi ke छोर se nikle jo
Samundar ke तट्ट pe jaa paunche
Hai toh doono kinare hi
A flowing possibility
A vast opportunity
Hai toh doono paani hai
A life giver
A life harbour
Hai toh doono ek sur hi
A melody
A symphony
A union of 2 equals
Main tujh mein mil jaau
Yeh hi hai fitrat meri
Tu mujhe pa ke zinda rahe
A ballad of this union
Will be sung across all ages
Main har roj dafn hota hu
Main har roj dua banta hu
Main dafn hue uss ishq ke
Ikk umeed ki dua hoon
In your presence
In your absence
It's me who needs to change
It's me who has changed
It's me who is dependent
It's me who has suffered.
it's me who is not absolutely sure
it's me who wanted this surity
in your presence - now I am free
in you absence - I didn't have anything
Kisi ne ek roz poocha mujh se
Kitna dard hai tumare dil mein?
Toota dil hain ya bas zindagi ka sabab
Ishq hai wajeh, ya kisi lath ki hai talab?
Aadat hai janaab, insaan ki mujhe
Ishq thi ya madhoshi, nahi pata mujhe
----
Par eshaas toh hain iss baat ka ke
Kami mehsoos hoti hai aaj bhi mujhe
Bayaan par kya hi kare hum
Sabhi - yaha sabhi - ke dil mein kaafi bhara hain gam.
Toh bas do peg laga lete hai
Uske naam ka kadva ghoont yun hi pee lete hai
---
Dekh ke raqib ko raakh hote hai
Saaqi ke saath gam kuch hadh tak baat lete hai
Aasun ka ek katra bhi nahi baha te hai
Gam ko - shabdo se ek kavita mein piroh dete hai
Aaj bhi uss insaan ko yaad toh karte hi hain
Par saath jeene ki tamannah nahi rakhte hai.
Badi mushkilo se guzre hai iss saal, oh saaqi
Iss maikhane main yaron se akhri baar milenge, oh saaqi
Saghar ko behne dena mere, oh saaqi
Ranjhe ka vasl hoga aaj heer se, oh saaqi
Ku-e-yaar mein aaj wafa kar jaau mein, oh saaqi
Aur mazar pe mere bas 'Ishq' likh dena, yaar mere oh saaqi!
Khooye chand ko uska asmaan mil gaya
Gum uss ladki ko, dil ka makaan mil gaya.
Hum kaviyo ki ek gazab aadat hai
Hum har yug mein janam lete hai
Hum uss yug ki khoobsurati ka gaan gaate hai
Hum uss yug ki ninda bhi karte hai
Aur hamesha, har yug mein prerna humari
Koi ek stri hoti hai.
Embracing you
And stealing the fragrance off you
I don’t know, now
Where ‘you’ begin and ‘I’ end
The Genesis of our being.
Gale se laga ke
Teri khusboo maine chura li
Main ab tu hoo.
Tujh se ab meri pehchaan bani.
Ek sexist gaana likhna hai
Body trends bana ne hai
Mujhe bhi famous hona hai
Lyrikist cool dikhna hai
Desh mere mein yeh bikta hai
Har koi rapper ban ta hai
Gaali se bum ka figure hai
Gaadi aur daaru chartbuster ka tod hai
Main pad khat tere pagal hoye
Shami savere tera naam japya
Je tu mud ke na aayi nede
Assa bollywood varge bol ne likhe
Kudi da dil vaango stone
Nai chukdi mera phone
jado duvaya onnu diamond stone
Boldi hun dila mainnu iPhone.
Dil hai yeh mere microwave ka
Jal jal ke aaj jal hi gaya
Raakh yeh main samjhu hu
Raakh kuch toh mein bhi hu
Dil mera bhi bahar hai kahi
Kisi aur ke dil ki jaan hai kahi
Main toh kabhi ka poora hua
Tu aaj mere jaisa hua
Toh dono ka dil ab raakh hai
Microwave aaj se tu mera saccha yaar hai