Monday, December 27, 2021

Grief and Flowers

When has grief been overwritten by flowers

Grief throbs thorough the veins nourishing the pain further 

Like the stalk holidng the flower
While petals are left to fly 
When has grief not partnered with flowers 
When 'she loves me not' is the last one out

When a wreathe is laid after our beloveds are lowered 
When has grief not been one with flowers?

They are dead themselves 
Being proffered in remembrance
To fill the arena with a pleasent nostalgia
That coulds the stench of grief 
That coulds the stench of pain 

What can the dead afterall offer?
A sweet fragnant nostalgia
That's what flower masks 
That is why flowers thrive
When a garland is hung on a portrait of the departed 

Tu mare solution

Rang chada hai ishq ka aise 
Jaise petrol car mein chade diesel

Barbaad kare engine ko aaise
Jaise barbaad hua hai mera jeevan 

Jaise engine replacement is only option
Aisa tu hai mera solution

waaah!

Wednesday, November 10, 2021

I am a paper boat - drowning

Maine kagaz ki tairti kashti se poocha
Tu kis kitab ka hai re panna?

Jawaab kuch yun aaya,

Mein khat thi
Ek Prem patr thi

Aaj kashti hu
Tairne hu nikli

Kisi ki kahani
Bhulane chali hu

Tuesday, November 2, 2021

Troll - Hidden / Gaibat

I am Gaibat 
I am a troll 

No qualms in calling you a whore
I may be left, I may be right 
Mazag mein rape threats to your wife 

I am Gaibat 
Out of sight 
Propaganda on your mind 
Your command will be mine.

Tuesday, October 26, 2021

Billo Raani Permission Maangi

Oh billo, you are so yummy (tareef) {wink wink}
Will you become my biwi (permisson) 
So that I can call you rani (guzarish) 
and 
Sing a song by daler mehndi (romaance) 

Oh billo raaaani - kaho toh ab jaan de du

Monday, October 25, 2021

Darakht ka Phal - Udaasi

Dusro ka dukh apna ke
kavitayen rach ke 
khud uss peeda ko jee ke 
khudi se yeh kehte hai 

kavita/likhna udaasi ke darakht(tree) pe lagne waala phal hai 
tursh(sour) hai siirat iski
Iski hai yehi khaasiyat 

Friday, August 13, 2021

My best friend

Mere प्रिय mitr
Yeh kavita likhi hai tumhare liye

Jaa ke doob mar
Call kare toh सौ saal baad uthayega

Ladki mil gayi toh
Let's go get drunk nahi ho raha

Jhanaum mein jalega saale
Kunware dost ki haayi lagegi.

Aasha karta hu कि yeh khat
Aapko best of health mein mila hai.

धन्यवाद

Monday, July 26, 2021

Urdu Poems

1.
Tera fusuu.n chada hai mujh par kuch
aisa
Jo fraand request bheja hai din bhar
Usko accept kar lo na zarra.

2. 
Gul-Pairahan tum ho,
Ho tum hi gul-pairahan
Chalo, ab fancy dress khatam hua
Bhaada 220 do!

3. 
Amazon ke bhi ads hai chal rahe 
Myntra ne bhi promotions kar diye 
Friendships day ke insta wishes hai aa rahe 
But 
Dost dost na raha 
pyaar pyaar na raha
zindagi hume tera 
aitbaar na raha.

4.
Muskurahat ke tere ishtiyaaq mein baitha tha kavi 
Tere nath ke hypnosis se pehle bahaar nikle toh sahi.

Ishtiyaaq - longing

5. 
Ryhming sher pesh kiya hai 
Irshaad irshaad 

Ryhming sher maine pesh jo kiya
Iztiraar se mere followers sabhi bhaage hai.

waah waah. waah waah. 

Iztiraar - irritation

Saturday, July 17, 2021

Jawaaani Phir Na Aaye

Boonde aur phool
Aashiqo ke bol ban gaye

Gulaab bhi kaafi
Sabhi ko de diye

Mandiro mein tak
Diye sabhi na jalae

but

Ek baar jo jaaye
Jawaani phir na aaye.
OOO hoooo. jawaaani phir na aaye.

Monday, June 21, 2021

Tu ho rahi hai moti

 Tu ho rahi hai moti 
But I don't care zara sa bhi 

Kyun ki

Tumhe apna bana ne ki, kasam khaayi hai, khaayi hai....

Main Challi aa Raah ohdi te

Mein challi aa raah ohdi te 
Jithe honde saare jal ke raakh 

Mein challi aa raah ohdi te
Na mein hoyi paar na hoyi mae raakh (Sanam Marvi)

Te hun chala raah kidde te
Ke ho java muqt saare bandhana toh 

Na koi bulave mennu Heer 
Na koi bole mainnu Sohni
Mein challi aa raah jede te 
Mein ban challi aa ishq di jogan 

Aloo when deep fried - my eyes.

Aloo when deep fried is fries 
Boys are also called flies
Baby when hungry cries 
This poem makes Pheobe go

Ah my eyes
Ah my eyes 
Ah my eyes 

Chingam on baal

Mae aaya hu hero jaise 
Toh ab chingam jaise 
Jo chipak jaata hai baalon se
Mein chipkunga tere se

Thursday, May 20, 2021

Wednesday, May 19, 2021

Qabr mein bhi saala no sukoon

Dard ka aalam kuch iss kadar raha
Qabr tak mein sukoon na raha

Jo reh gaya 

Woh bas tu hi raha

You follow the lights back home

When your hope starts to wane 
Follow the lights back home 

Yes it breaks your heart
See see someone you love sad

To watch the road end for them
Or a struggle that just doesn't seem to end

I can never feel this pain of yours 
But I can try to write a few good words 

I am no Manto or Elia to soothe you
But I try to write and calm you

So when you feel like all is lost
You follow the lights back home

You are the mark they leave behind 
You live and they'd always remain alive. 

Nails need cutting

Nails need cutting once a week
But a few keep them as it is 

They grow and are adorned with paint
Whole I wonder how not it breaks 

Maanjra yeh hai - ki woh badte hai
Mere toh kaam karne pe toote hai

Par aap mohterma kaise sambhaalte hai
Mere tootne pe - behad dard de te hai

Bartan na maanj saku
Na likh saku with a pen 

Tum kaise manage karte ho to grow 
And file them to look pro

What do you do while making love 
I pity the guy, you can't get enough :'(

Amavas ke baad dekhne milti hai

Ek dil chand ka bhi khilta hai
Jiski muskurahat hume
Amavas ke baad
Dikhayi padti hai

Sunday, May 2, 2021

Teri yaad se mein amar hua

Lipti rahi mujh se tanhaai
Badan ne ki manmani 
Na soo saka 
Na jaag saka
Saath rahi bas tanhai 

Jal ke mein phir raakh hua
Qabr mein dafn yeh khaak hua
Jo raha so bas dard raha 
Khaak se mein phir baag hua 

Baag mera hai chaman se bhara
Par ek phool kuch alag sa khila
Dil se mera woh tha nikla
Aur teri yaad se mein phir amar hua.

Wednesday, April 28, 2021

Yeh raat bas kaatni hai

Ye raat bahut hi kaali thi
Jaise kaise bitani thi

Kae toh khud ko kho diye
Kae yun dum tod diye

Lehre bhi kuch tham si gayi
Bechaini kuch bad si gayi

Ye raat bahut daravni thi
Kitno ko yeh nigle gi

Kya saath dega tu mera rahi
Kuch dur tak hi sahi

Suraj kabhi toh nikelaga hi
Kabhi toh yeh andhera hatega hi

Ye raat bahut hi kaali thi
Jaise kaise bas kaatni hi thi


Sunday, April 25, 2021

Jis din tu Kabr mein Soyega

 Jis din tu apne kabr mein soyega 
Khud se yeh zaroor poochega 
Lashe itni kyun hai kabristan mein
Kaun kaun hai dafna yaha pe

Har woh shakhs jo कटा hai
Har woh shakhs jo जला hai
Jis din tu apne kabr mein soyega 
Laasho ki cheekh ab tu sunega 

Jo raakh hue jo khaak hue 
Maati mein jo ja mile
Jis din tu apne kabr mein soyega
Woh माटी ka bhi naseeb nahi paayega 

Jis din tu kabr mein apne soyega 
Us din yeh desh tujhe bhulega 
Har woh khoon ka dag tab dhulega
Jab tujhe desh yeh bhulega।

Wednesday, March 24, 2021

Oh baby - I buy Mercedi

Oh baby, mein tere layi buy kitti Mercedi 
Mein tere layi buy kitti Gucchi

oh baby, mein tere layi likhya song in Punjabi Naale vich paaye - words Angreji

Oh baby, now time for video in blue beach paani 
Tainnu khali peth, pilava mein sharab vi

Mera punjabi hit song formula ready
but wait - first scene
Biggini shoot, 2 pis-is only. 
Biggini shoot.

Silly Poem Set 3

1. Goore goore gaal mere 
kaale kaale baal

Haath mein choodi chaar mere 
Lagti hoo mein star

Ghoome aage peeche mere
Yeh ladke log hajaar

But first,

Jai mata di let's rock!

burraaah!

2. Yeh chai mein tha masala 
Doodh bhi isme tha daala

Tu ne oh rangeele kaisa jaadu kiya 
Piya piya bole mat waala jiya

3. Onion is so expensive
So is Gold.

Potato too has become mehngna
Were you not told?

Just like winter mein Paani aaye cold
Jai mata di let's rock, Buraaah.

Never gets old.

4. I waited like a nice boy to open the door Chivalry is not dead, so I adddressed her as huzoor

I pulled the chair too, but a bit too dur
She fell and then sab log ne create kiya furore

All I could utter in my defence

Oooooh huzoor, tera tera teraaaa surooor!

Tuesday, March 16, 2021

Na kuch tujh se maanga na khuda se

Ishq mein hum lute the yun
Seedha fakir jaa bane

Khudaari mein

Na kuch tujh se maang sake
Na kuch khuda se bol sake

Monday, March 15, 2021

Ishq Pyaala - Piya sabhi ne

Ke jhoom utha hai jag saara

Jab piya sabhi ne ishq pyaala


Sur-besur se kya vaasta 

Shehed se meetha, ishq pyaala


Hua poora hai jag bavlaa 

Piya sabhi ne ishq pyaala


Ab jhoome gaaye jag saara

Radhe-Krishn ki yeh gaatha


Ab ghule rang ishq ka saara 

Jag ne piya jo ishq pyaala


Bana jag hai ab bawlaa 

Piya sabhi ne ishq pyaala

Friday, March 12, 2021

What ae Wow - Have Pao

Kisi ne bola gehrai lao

Kisi ne bola dard laao

Kisi ne bola kushali lao

Kisi ne bola sufi kaalam le aao


Main bola, 

Daala maine aloo in paao

20 mein do hai iska bhau

Peth bhar ke khao

Wow Wow Wow!

Thursday, March 11, 2021

Tere mere ateet ka farak

Tere aur mere ateet mein 

Itna hai bas farak

Tera mein kal ban gaya
Mein aaj bhi kal hi main hun dafn

Thursday, February 18, 2021

Haaton mein 9-9 chidiya

Main laaya tere liye ghadi bazaar se 

Socha pehnaunga tujhe pyaar se 

Jab bhi waqt dekhe tu - muje yaad kare
Par, jab pehna ne laga, tune yeh kaha mujh se

Mere haathon mein 9 9 chudiya hai
Zara thairo sajan majbooriya hai

Sharara Sharara

Tera dimaag hai itna sa

Jisme tu ne bhar rakha hai bhusa


Chahe kar lu mein kitna bhi gussa

Tu ne karna hai sab kuch ulta 


Upar se yeh bhi padta hai sun na 


Sharara Sharara , Shara ra Sharara

Mein hoo ek Sharaaaa raaa

Thursday, February 11, 2021

Nazar Andaaz karti rahi

Aankon ne byaan kiya hai

Mere dil ka haal

Tu aanjaan thi 

Ya nazar andaaz karti rahi meri har baat?

Thursday, February 4, 2021

Masala Chai

Yeh chai mein tha masala

Doodh bhi isme tha daala 


Tu ne oh rangeele kaisa jaadu kiya

Piya piya bole mat waala jiya 

Sunday, January 24, 2021

Bhai ka Fragile Ego

 Hi 

Don't say bye 

I will die 

Just reply 


I'll make you cry 

Throw you from sky 

Then you die 


Bhai hoo main bhai 

With an ego that's fragile








Humara Muse - Stri

Hum kaviyo ki ek gazab aadat hai 

Hum har yug mein janam lete hai 

Hum uss yug ki khoobsurati ka gaan gaate hai 

Hum uss yug ki ninda bhi karte hai 


Aur hamesha, har yug mein prerna humari

Koi ek stri hoti hai.

Tara and Ped - Milo

Woh tara hai tu

Dur kahi 

Yeh ped hoo main

Aas meri


Mil jaaye hum

Kyun nahi 

A melody, A symphony - A Ballad

Nadi ke छोर se nikle jo

Samundar ke तट्ट pe jaa paunche 


Hai toh doono kinare hi

A flowing possibility

A vast opportunity


Hai toh doono paani hai

A life giver 

A life harbour 


Hai toh doono ek sur hi

A melody

A symphony


A union of 2 equals

Main tujh mein mil jaau

Yeh hi hai fitrat meri


Tu mujhe pa ke zinda rahe 

A ballad of this union

Will be sung across all ages

Ikk umeed Ki dua hoon

Main har roj dafn hota hu

Main har roj dua banta hu

Main dafn hue uss ishq ke

Ikk umeed ki dua hoon

In your Absence - Kuch nahi tha.

In your presence

In your absence


It's me who needs to change 

It's me who has changed 


It's me who is dependent

It's me who has suffered.


it's me who is not absolutely sure 

it's me who wanted this surity 


in your presence - now I am free

in you absence - I didn't have anything

Toota Dil hai Ya Zindagi ka sabab

Kisi ne ek roz poocha mujh se

Kitna dard hai tumare dil mein?


Toota dil hain ya bas zindagi ka sabab

Ishq hai wajeh, ya kisi lath ki hai talab?


Aadat hai janaab, insaan ki mujhe

Ishq thi ya madhoshi, nahi pata mujhe

----

Par eshaas toh hain iss baat ka ke

Kami mehsoos hoti hai aaj bhi mujhe


Bayaan par kya hi kare hum

Sabhi - yaha sabhi - ke dil mein kaafi bhara hain gam.


Toh bas do peg laga lete hai 

Uske naam ka kadva ghoont yun hi pee lete hai

---

Dekh ke raqib ko raakh hote hai

Saaqi ke saath gam kuch hadh tak baat lete hai


Aasun ka ek katra bhi nahi baha te hai

Gam ko - shabdo se ek kavita mein piroh dete hai


Aaj bhi uss insaan ko yaad toh karte hi hain

Par saath jeene ki tamannah nahi rakhte hai.

Saqi - Mazar pe tum kya likhna

Badi mushkilo se guzre hai iss saal, oh saaqi

Iss maikhane main yaron se akhri baar milenge, oh saaqi

Saghar ko behne dena mere, oh saaqi

Ranjhe ka vasl hoga aaj heer se, oh saaqi


Ku-e-yaar mein aaj wafa kar jaau mein, oh saaqi

Aur mazar pe mere bas 'Ishq' likh dena, yaar mere oh saaqi!


Gum hai ladki. Dhoondo

 Khooye chand ko uska asmaan mil gaya

Gum uss ladki ko, dil ka makaan mil gaya.

Muse meri kaun hai?

Hum kaviyo ki ek gazab aadat hai 

Hum har yug mein janam lete hai 

Hum uss yug ki khoobsurati ka gaan gaate hai 

Hum uss yug ki ninda bhi karte hai 

Aur hamesha, har yug mein prerna humari

Koi ek stri hoti hai.

Genesis of our Being

Embracing you

And stealing the fragrance off you

I don’t know, now

Where ‘you’ begin and ‘I’ end

The Genesis of our being.


Gale se laga ke

Teri khusboo maine chura li


Main ab tu hoo.

Tujh se ab meri pehchaan bani.

Assa Bollywood Varge Bol Ne Likhne

Ek sexist gaana likhna hai 

Body trends bana ne hai 

Mujhe bhi famous hona hai

Lyrikist cool dikhna hai 


Desh mere mein yeh bikta hai

Har koi rapper ban ta hai

Gaali se bum ka figure hai

Gaadi aur daaru chartbuster ka tod hai 


Main pad khat tere pagal hoye

Shami savere tera naam japya

Je tu mud ke na aayi nede

Assa bollywood varge bol ne likhe 


Kudi da dil vaango stone 

Nai chukdi mera phone 

jado duvaya onnu diamond stone

Boldi hun dila mainnu iPhone.




Microwave ka Dil

 Dil hai yeh mere microwave ka

Jal jal ke aaj jal hi gaya



Raakh yeh main samjhu hu

Raakh kuch toh mein bhi hu


Dil mera bhi bahar hai kahi

Kisi aur ke dil ki jaan hai kahi


Main toh kabhi ka poora hua

Tu aaj mere jaisa hua


Toh dono ka dil ab raakh hai

Microwave aaj se tu mera saccha yaar hai

Saturday, January 2, 2021

Main - Main na raha

 Tujhe khone ke gam mein

Tujhe paane ki kushi mein

Main

Main na raha.