Wednesday, October 30, 2019

Diwali

Lo aaj bhi aagayi naye libaaz pehn ke diwali 
Bhikre patte samet ke, aangan ko diya se roshan karne waali diwali 

Bachpan se par thodi alag hai ab yeh diwali 
Hum chutti pe hai par
Aaj daftar main bhi koi manayega diwali 

Kya mazab dekhte ho kya bhagva rang?
Yeh na teri hai na meri hain - yeh toh sabhi ki hai Diwali.

Mandir yahi Banega ya Masjid yahi Banega - tumhe is se kya milega,
Jo ghar se door hai, ya jo ghar pe hai - gale lago toh aao aaj - yeh sabki jo hain Diwali.



Friday, October 25, 2019

Aangan

Chod ke aangan Mera 
Chal padi main thaam ke haath tera 

Kabhi lehro main 
Kabhi Shaant samundar main
Saath chali thaam ke haath tera 

Kaha woh apna ghar tha
Kaha woh galiyon main garam jalebi ki mehek
Chod ke sab, saath chali thaam ke haath tera.

Peeche mud ke ab kya dekhna 
Saath Jo chali thaam ke haath tera
Ab mil ke saath basaenge hum ek naya basera