Nadi ke kinaare kabhi bathiye toh
Khamoshi ke naye arth se wakif hoge
Nadi ki lehre ek raag sunati hain
Hawa ka jhoka bhi kuch fusfusa jaati hain
Tat par laati yeh saath apne ateeth hain
Jise sun sako toh seekho khaniyan kahi.
Pakshi aur vruksh ke bandhan ko dekhiye
Woh bhi iss khamosi main bahut keh jaate hain
Chaya dete woh paid hi, vaayu ka raag banate hain
Aur woh chidiya hi hain jo usme madur sa geet bhar deti hain
Phalo ko khaate pashuo ko dekhiye
Hume ye drishye apna vajood sikhata hain
Man ke bheetar jhaakne ki kshamata bhi
Yahi nadi tumhe seekhati hain
Khamoshi ko kabhi suno toh
Jeene ke raaz yeh sikhlati hain