Saturday, August 23, 2025

Palak Jhapakte hi

Palak jhapakte hi aaj kal hojaayega 
Tum mano ya na mano
Tumhara kal, aaj ho jaayega

Monday, July 28, 2025

Drowning you in pain

Ab jaake samajh aaya 
Kyun lekhak.ak aamooman 
Dil ke dard ki khtha sunate hai 

Yeh ek aisa rog hai 
Jo kabhi saath chodta hi nahi 

Yeh rehta hai 
Aapke aas paas 

Bas rehta hai 
Saaya bhi, kabhi chod ke jaata hai

Yeh bas rehta hai 
Din raat, chubta rehta hai 
Dubata rehta hai 
Tadpata rehta hai 
Paagal kar ke 
Ek din, 
Tumhe saath le jaata hai. 

Hum Sharab Bahate hai

Kyun itna dur tum jaate ho 
Paas aao hume kyun tadpate ho 

Gairon ki baahon mein kya maza hai 
Hum toh kabhi jaan se bhi pyaare the 

Ab kya malaal kare is gustaaq ka tumhare 
Jo raqib ke ghar tum basi ho jaake 

Hum toh Jaun Eliya ke shagird hai 
Unhe khuda maante hai 

Tere jaane ke dukh mein 
Aanson nahi hum sharab bahate hai 

PPF Putty aur Dil

Toote dil ko jo jod ke rakha hai
Gond hai tu mera 
Jo mujhe od ke rakha hai
Mujhe sambhale hua hai 

Car ko jaise ppf 
Ghar ko jaise putty 
Skin ko jaise sun screen 
Sabhi ko sambhale hua hai. 

Monday, August 19, 2024

Hai huku Hai huku

Sajda maine bahut kiya 
Arzoo.n ko mere dafn kar diya 
Guftagu hui nazre akhir jab 
Maine khud ko bas yeh samjhaya 

Ikk ladki mere saamne 
Mera dil kare

hai huku hai huku 
hai hai 
hai huku hai huku 
hai hai 

Sunday, July 14, 2024

Nafrat ki lagi Aag

Nafrat se jali aag, kisi akele ki nahi jaalti 
Lapto se bani raakh, kisi ek mazab ki nahi hoti 

Yeh sab ko saath leke chalti hai 
Sehlab ban ki bas tabhi chod jaati hai

Thursday, April 11, 2024

Andhera toh b hua hai

Mashaal hu mae 
Ek bujhte diye ki lau se jali 
Dheeme se roshan karti hui
Viraan pade ek ghar ko 

Jaha kabhi bacche khelte the 
Vede mein mirchi soo.kha karti thi 
Chath pe papad suka.e jaate the 
Jaha kabhi daadi raha karti thi 

Jhilmilati hui iss roshni mein 
Dhundli padi ka.e yaaden hai
Lukka chuppi khel rahi hia 
Aur milne ki ummed bhi kam hi hai 

Buj jaayegi yeh mashaal bhi ab
Gir jaayegi sab deewar bhi 
Mit jaayega iss ghar ka pata
Reh jaayegi bas kuch yeh panktiyan
Saboot - ki hum kabhi the 
Roshni bhi thi, andhera toh ab hua hai.